Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Thursday, July 29, 2010

ISLAAM:- DEEN-E-FITRAT ÌLM AUR ÄMAL

AU'DHOBILLAAHEMINASHSHAITAANIRRAJEEM.BISMILLAAHIRRAHMAANIRRAHEEM ALHAMDOLILLAHE RABBIL A'ALAMEEN.WASSALAATO WASSALAAMO A'LAA RASOOLIHIL-KAREEM.WA A'LAA AALIHI WA AS-HAABIHI WA AULIYAA-E-UMMATIHI WA UMMATIHI AJMA'EEN. {ISLAAM KI KUTCH KHAS BATEIN,JO MAIN NE JAANI YAA SEEKHI HAIN,UNHEIÑ YADDASHT KE TAUR PAR YAHAÑ JAMAA KARNE KI KOSHISH KAR RAHA HOOÑ. :-KHWAAJAA RADIYALLAHO TA'AALA ANHO KI NAZRE KARAM KAA BHIKAARI, Gulammustafa Sultaani Chishti} Lekin padhte waqt is baat kaa khayaal rakheiñ ki jahaañ par A' yaa ' aayaa hai usse a'rbi kaa A'IN maqsad hai aur jahaañ ñ aayaa hai usse naak ki aawaaz GUNNAH maqsad hai. ISLAAM Haqeeqat maiñ ROOHAANIYAT KA HI NAAM HAI.Insaan ki Rooh iss duniya main aane ke pahle se apne RAB(ALLAH TA'AALAA)ko jaanti pahchaanti hai.Rooh ke isi gun yaa sifat ko "ROOHAANIYAT" kahte haiñ.To har insaan par zaroori hai ki apni fitrat(assli azli a'adat)ke mutabik Allah Ta'aala ko pahchane. ISI KO M'ARIFATE ILAAHI (AZZA WA JALL) Haasil karnaa kahte haiñ.Y'ani M'arifate Ilaahi (Azza wa jall) ka matlab hi Roohaaniyat hai. IS MA'AAMLE MAIÑ INSAAN JITNI TARAQQI KARTAA HAI UTNAA USKAA MUQAAM BADAA HOTAA HAI.ISLAM ka jo Qanoon hai Usay SHAREEA'T kaha jaataa hai.SHAREEA'T(ISLAAM) ki buniyaad sab ko paida karne waale ALLAH TA'AALA ko pahchanne(M'ARIFATE-ILAAHI)par hi hai.Shareea't ke Do hissay haiñ. Eik Zahiri aur Doosra Batini(Androoni) .Zahiri Shareea't QURAAN PAAK aur HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WASALLAM KE AHAADEESE SHAREEFAH KE ZAHIRI M'AANI(MATLAB) KO KAHA JAATAA HAI AUR BATINI(ANDAROONI)SHAREEA'T, QURAAN PAAK AUR HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WA SALLAM KI AHAADEESE SHAREEFAH KE BATINI MA'ANI KO KAHA JAATAA HAI.Batini shareea't ko"TAREEQAT" kahte haiñ.Zahiri shareea't jism ki tarah aur baatini shareea't rooh ki tarah hai.Koi bhi Insaan jo Imaan wala y'ani Musalmaan hai, Dil main M'arifate Ilaahi zaroor rakhtaa hai,phir yeh eik alag baat hai ki gunaahoñ ki wajah se yaa Tareeqat ki Duniyaa maiñ(TAREEQAT KE QAANOON KE MUTAABIQ) na utarne ki wajah se usay khabar na ho.Waise agar Islaam ko dekha jaaye to saaf taur par yeh nazar aataa hai ki Dil main jo Tareeqat ki duniyaa hai Asal maiñ oosi Duniyaa maiñ ootar kar Rahnaa Chaahiye,Isi maiñ Insaan Ko Chain Hai.Yeh Duniyaa hi Insaan Ki Apne RAB T'AALAA Se Raaz-O-Niyaaz ki Duniyaa hai.Is Duniyaa maiñ Insaan par woh Raaz Khulte haiñ jo zaahiri Ílm se naheiñ pataa chal sakte.RAB T'AALAA KE PYAARE BANDOÑ RIDWAANULLAHE ALAIHIM AJMA'EEN NE YEH BATAAYAA HAI KI ZAAHIRI SHAREEA'T KE U'LOOM(KNOLEDGE) KI TAFSEELI SAIR BAATINI SHAREEA'T MAIÑ HOTI HAI.BATINI SHAREEA'T Y'ANI TAREEQAT KI DUNIYAA MAIÑ ISI SAIR(GHOOMNE) KO SAIR AUR SULOOK KAHTE HAIÑ.YEH SAIR AISE HOTI HAI JAISE KI AADMI AAÑKHOÑ SE DEKHTE HUYE GHOOM RAHAA HO.LEKIN YEH ZABAAN SE BAYAAN NAHEIN KI JAA SAKTI.Jis tarah Rooh ke bagair jism Bekaar hai usi tarah agar Dil maiñ Tareeqat yaa Roohaaniyat na ho to zahiri taur par insaan kitnaa bhi Imaan kaa d'awaa kare hargiz woh musalmaan naheiñ ho saktaa.Agar aisi baat na hoti to marte hi Insaan se Sawaal kar ke Us IMAAN Kaa IMTIHAAN Na liyaa jaataa.Dil ki gahraai maiñ jo Imaan(TAREEQAT)hotaa hai uskaa imtihaan insaan ke marte hi liyaa jaataa hai.Farishte Allah T'aalaa ke Hukm se marne ke b'ad Imaan ke baare maiñ Teen Sawaal karte haiñ.Pahlaa sawaal yeh hotaa hai ki teraa RAB (A'ZZA WA JALL)Kaun hai?Doosraa sawaal yeh hotaa hai ki Teraa Deen kyaa hai?AUR TEESRAA KHAAS SAWAAL JO POOCHHAA JAATAA HAI WOH HUDHOOR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAHO T'AALAA A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM Ko dikhaa kar yeh poocha jaataa hai ki too IS MARD(SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM)KE BAARE MAIÑ kyaa kahtaa hai.Duniyaa maiñ insaan kitnaa bhi Imaan kaa d'awaa kartaa ho yaa khood ko Imaan waalaa samajhtaa ho,agar Dil maiñ Baatini Shareea't waalaa Imaan naheiñ hai To woh Insaan hargiz,hargiz Un farishtoñ ko saheeh jawaab naheiñ de paataa.Bulki yaa to yeh kahtaa hai ki maiñ naheiñ jaantaa,yaa yeh kahtaa hai"ki jo baat maiñ logoñ se suntaa thaa,wohi kahtaa thaa".FARISHTE MOUT KE B'AD JO SAWAAL KARTE HAIÑ USKA MAQSAD YEH HOTAA HAI KI US INSAAN PAR YEH HUJJAT QAEIM KI JAA SAKAY KI DUNIYA MAIÑ YEH INSAAN DIL SEY IMAAN PAR THAA YAA NAHEIÑ.ALLAH T'AALAA QURAAN PAAK MAIÑ IRSHAAD FARMAATAA HAI"WA MAA QADARULLAAHA HAQQA QADRIHI"Y'ANI KAAFIROÑ(gair muslimoñ) NE ALLAH T'AALAA KI QADR NA KI JAISE US A'ZZA WA JALL KI QADR KAA HAQ THAA.TO JIS KE DIL MAIÑ RAB T'AALAA KI QADR Y'ANI IMAAN HOTAA HAI WOH RAB T'AALAA KE FAZL SE IS IMTIHAAN MAIÑ KAAMYAAB RAHTAA HAI AUR KAAFIR HARGIZ KAAMYAAB NAHEIÑ HOTE.YAHAAÑ PAR YEH BAAT KHAAS TAUR PAR SOCHNE KI HAI KI IMAAN KE BAARE MAIÑ AGAR POOCHNA HAI TO RAB T'AALA AUR DEEN KE BAARE MAIÑ SAWAAL KAAFI LAGTAA HAI,LEKIN RAB T'AALAA HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WA SALLAM KE PAHCHAANNE KE BAARE MAIÑ BHI TEESRA SAWAAL KARWAATA HAI KI SARKAAR SALLALLAAHO ALAIHE WA AALIHI WASALLAM KO JAANTE PAHCHAANTE HO YAA NAHEIÑ.Y'ANI SARKAAR SALLALLAAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM KO RAB T'AALAA SE KHAAS QURBAT HAASIL HAI.AUR AAP SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM KI QADR ALLAH T'AALAA KI QADR HAI.YEH KISI AUR KI TARAF SE NAHEIÑ BULKI RABBE ZUL-JALAAL KE HUKM SE YEH SAWAAL KIYAA JAATAA HAI.TO ALLAH(A'ZZA WA JALL) WAALOÑ NE HAMEIÑ YEH BATAAYAA HAI KI ASSL MAIÑ BAAT YEH HAI KI SARKAAR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WA SALLAM ALLAH T'AALAA KI TARAF SE SAARI MAKHLOOQ KE PAAS MOUJOOD(ALLAH TA'AALA KE BHEJE HUE,RASOOLALLAH SALLALLAHO A'LAIHE WA SALLAM)HAIÑ AUR RAB T'AALAA KI BANDAGI KAISE KI JAAYE(BANDAGI KAA ADAB) SIKHAATE HAIÑ.YEH SIKHAANAA JAB SE MAKHLOOQ PAIDAA KI GAI HAI TAB SE HAR MAKHLOOQ KE LIYE USKI FITRAT MAIÑ HAI.PHIR CHAAHE WOH MAKHLOOQ KHAAS-UL-KHAAS AÑMBIYAA A'LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM HOÑ YAA FARISHTE HOÑ YAA JINNAAT YAA INSAAN YAA JAANWAR YAA G'AIR JAANDAAR PATTHAR, PED,PAUDE HOÑ YAA PAANI,AAG VAGAIRAH.ISI LIYE HUZOOR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WA SALLAM, ALLAH T'AALAA KI SAARI MAKHLOOQ KE LIYE ALLAH T'AALAA KE NABEE SALLALLAHO ALAIHE WA AALIHI WA SALLAM HAIÑ AUR HAR JAGAH HAR EIK KE PAAS HAAZIR MAANE JAATE HAIÑ.KHOOD HAMAARE AAQAA WA MOULAA HUZOOR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAAYAA HAI KI MAIÑ SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM US WAQT BHEE NABEE THAA JAB HAZRATE AADAM A'LAIHISSALAATO WASSALAAM PAANI AUR MITTI MAIÑ THEY.NABI KAA MATLAB G'AIB Y'ANI CHOOPI HOOI BAATOÑ KAA ALLAH TA'AALAA KE HUKM SE KHABAR DENE WAALAA HOTAA HAI.YAHAÑ(TAREEQAT KE MA'AMLE MAIÑ) G'AIB SE MURAAD RAB TA'AALAA KI M'ARIFAT(PAHCHAAN) KAA I'LM HAI.TO SAAF TOUR PAR YAHAÑ YEH M'ALOOM HUWAA KI HUZOOR SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM KO PAHLE HI SE ALLAH T'AALA KE SIKHAANE SE ALLAH T'AALAA KI PAHCHAAN KAA I'LM HAASIL HAI AUR DOSROÑ(SAARI MAKHLOOQ) KO YEH I'LM SARKAAR SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM SE MILTAA HAI.ZAHIRI AUR BATINI DONOÑ SHAREEA'TOÑ KO MILAA KAR SHAREEA'TE KAAMILAH KAHTE HAIÑ.Shareeate kamilah ke Teen hisse haiñ. 1)I'LM 2)A'MAL 3)A'MAL maiñ IKHLAAS.
Ikhlass kaa matlab koi bhi kaam banda kare to DIL ki gahraai se sirf ALLAH TA'AALAA ki KHOOSHNOODI ke liye kare.Dil maiñ is Ikhlaas ko samajhne aur hasil karne ke liye Tareeqat ko samajhne,seekhne ki zaroorat hoti hai.Islaam maiñ DIL ke Haalaat ko mukammal ahmiyat haasil hai,kyoñ ki dil kaa seedhaa t'alluq ROOH Se hai aur Rooh ke waaste hi se dil ko M'arifate ILAAHI(AZZA WA JALL) HAASIL hoti hai.Zahiri Shareea't ke mutaabik aqql se Allah T'aalaa ko pahchannaa hota hai jabki batini shareea't y'ani Tareeqat main Allah T'aala ko pahchanne ka matlab DIL maiñ jo yaqeen ki aañkh hoti hai Usse Allah T'aalaa ko "dekhnaa" yeh hotaa hai.YEH BAAT ZABAAN SE BAYAAN NAHEEÑ KI JAA SAKTI AUR NA HI AQQL IS BAAT KO SAMAJH SAKTI HAI.JITNAA INSAAN IS BATINI M'AAMLE MAIÑ TARAQQI KARTAA HAI OOSI HISAAB SE OOSE "BULAND MUQAAM"MILTAA HAI.OOSI HISAAB SE MAUT KE B'AD RAB T'AALAA KE DEEDAAR KI TAJALLIYAAT NASEEB HOÑGI. KUTCH LOG ZAAHIR SE ZYAADAA IS BAATINI SHAREEA'T(TAREEQAT)MAIN RAHTE HAIÑ AUR ALLAH T'AALAA KE KARAM SE M'ARIFATE ILAAHI AZZA WA JALL (ROOHAANIYAT) KAA YEH KHAAS-UL-KHAAS MUQAAM UNHEIÑ MIL JAATAA HAI.YEH LOG TAREEQAT MAIÑ AISE RAHTE HAIÑ JAISE AUR LOG ZAAHIRI SHAREEA'T MAIÑ.IN ALLAAH AZZA WA JALL WAALOÑ(RIDWAANULLAHE ALAIHIM AJMA'EEN) KO DEEDAARE ILAAHI KAA YEH LUTF(YAQEEN KI AAÑKH SE) DUNIYAA MAIN HI MIL JAATAA HAI.KYOOÑ KI YEH RIDWAANULLAAHE ALAIHIM AJMAE'EN DIL KI GAHRAAI MAIÑ RAB T'AALAA KI QADRA(I'ZZAT KARNE KAA)EIK KHAAS MUQAAM RAKHTE HAIÑ. Doosre Imaan waaloñ ke liye DEEDAARE ILAAHI AZZA WA JALL AAKHIRAT MAIÑ HAI LEKIN IN BARGUZIDAH HASTIYOÑ RIDWAANULLAHE ALAIHIM AJMAEEN KO YEH MUQAAM DUNIYAA MAIN HI NAQAD HAASIL HO JAATAA HAI.YEH MUQAAM BAHUT A'ALAA WA AFZAL HOTAA HAI.Kam logoñ ko miltaa hai aur yeh MUQAAM HI bandagi kaa asal "MAQSOOD" HAI.INHEEÑ LOGOÑ KO "A'ARIF BILLAH"RIDWAANULLAHE TA'AALAA ALAIHIM AJMAEEN KAHA JAATAA HAI.RAB T'AALAA KI M'ARIFAT PAHCHAAN BE-INTEHAA HAI.US MAIN KHAAS BAAT YEH HAI KI JAB RAB T'AALAA KE WAJOOD KI BAAT HOTI HAI TO US AZZA WA JALL KI A'ZMAT WA JALAALAT KI WAJAH SE SIRF WOH A'DHEEMUSHSHAAN RAB T'AALAA HI HOTAA HAI,AUR SAB FANAA HI RAH JAATE HAIN.KYOÑ KI US A'ZZA WA JALL KI TARAH BADAAI,IZZAT,A'ZMAT AUR JALAAL WAALAA BAAQI KOI NAHEEÑ.YAHAAÑ WAHDAANIYAT (RAB T'AALAA KE EK BEMISAAL HONE) KAA MATLAB SAMAJH MAIÑ AATAA HAI.WAHDAANIYAT KO HI HAQEEQAT KAHTE HAIÑ KYOÑ KI US AZZA WA JALLA KI HASTI-E-MUBAARIKA KI MOUJOODGI KE LIHAAZ SE KUCH BHI BAAQI NAHEIÑ,HAQEEQAT MAIÑ SIRF WOHI MOUJOOD HAI.(IS BAARE MAIÑ BAHUT SI BAATEIÑ INSHAA-ALLAHULA'ZEEZ B'AD MAIÑ HONGEEÑ, DUA'A MAIÑ YAAD RAKHNAA) ASSALAAMOA'LAIKUM