Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Wednesday, June 8, 2011

TAREEQAT (BAATINEE SHAREE`AT) KEE BUNIYAAD

A-UDHO BILLAAHIMINASHSHAITAANIRRAJEEM,BISMILLAHIRRAHMAANIRRAHEEM   LAN TANAALULBIRRA HATTAA TUNFIQOO MIMMAA TUHIBBOON.<Quraan/Para No 4/Suarah/AAl imrAan/Ayat No 92> Y`ANI TUM HARGIZ BHALAAI KO NAHEEN PAHOONCHOGE JAB TAK ALLAAH T`AALAA KI RAAH MAIN APNI PYAAREE CHEEZ NA KHARCH KARO. HUDHOOR DAATAA GANJ BAKHSH RADIYALLAAHO T`AALAA A`NHO KASHFULMAHJOOB SHAREEF MAIN IRSHAAD FARMAATE HAIN KI YEH AAYATE MUBAARIKAH TAREEQAT(BAATINEE SHAREEA`T) KEE BUNIYAAD HAI.AUR YEH BATAAYAA HAI KI INSAAN KO SAB SE ZYAADAA APNAA AAP(KHOOD KAA WAJOOD,NAFS) PYAARAA HOTAA HAI TO INSAAN KO CHAAHIYE KI APNE WAJOOD KO RAB T`AALAA KEE RAAH MAIN FANAA KAR DE(APNE WAJOOD KO FANAA FILLAAH KAR DE).TO JAB YEH SHARAARTEE NAFS HEE NAHEEN RAHEGAA TO BHALAAI KEE RAAH MAIN KOI RUKAAWAT HEE NAHEEN RAHEGEE AUR INSAAN BHALAAI TAK PAHOONCH JAAYEGAA... ALLAAH T`AALAA HUDHOOR KHWAAJAA RADIYALLAAHO T`AALAA A`NHO KE SSADQE MAIN NASEEB KARE...AAMEEEN!!!!!

Momin aur munaafiq Ke Beech Sab se Badaa Aur Pahelaa Farq

BISMILLAHIRRAHMAANIRRAHEEM
HUDUOOR MOHAMMAD MUSSTAFAA SSALLALLAAHO A`LAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE I`LM-E-G`AIB SHAREEF KO MAANNAA
MOMIN aur munaafiq ke beech Sab se Pahela Badaa Farq
Nahmadohu wa Nossallee wa Nosallimu A`laa Rasoolihil-Kareem.Ammaa ba'ad Fa-auoodobillahe minashshaitanirrajeem.BismillahirraHmanirraHeem
Maa kaanallaaho leyadharal-mu:mineena Alaa maa antum alaihe Hattaa
yameezal-khabeesa minattaiyib,Wamaa kaanallaho le-yutle-akum alalgaibe
walakinnallaaha yajtabee mirrusulihee maiñyyashaa:fa-aaminoo billaahe wa
rusulih,wa in tu:minoo wa tattaqoo falakum ajrun aDheem.
(surah Aalimran-179) Sadaqallahul-aliyulaDheem.Wa ballaGana
rasuluhunnabiyulkareem.Wa nahnu ala dhalika laminash-shahideen
wash-shakireen.Walhamdulillaahi-rabbilaalameen.
Audhobillaheminash-shaitanirrajeem.Bismillahirrahmanirraheem.Innallaaha
wa malaaaikatahu yo salloona alannabi,yaa aiyyohalladheena aamanoo
salloo alaihe wa sallimoo tasleema.Allahumma salle alaa saiyyedenaa wa
moulana mohammadinw wa alaa aalihi wa asshabihi wa auliyaaa-e-ummatehi
wa ummatehi wa barik wa wasallim,ssalatanw wa salaaman alaika yaa
Rasoolallah(Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam).
Aik baar hamaare Aaqaa wa Moulaa Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam Ne wa'z maiñ Irshaad farmaayaa Ki Allah T'aalaa Ne Meri saari Ummat ko paidaaish se pahle Mere saamne pesh farmaayaa aur Mujhe I'lm diyaa gayaa ki kaun Mujh Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam Par Imaan Laaegaa aur kaun naheiñ.
Aap Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ke is Irshad-e-Mubarak ko sun kar munaafiqeen, y'ani woh log jo ooper se musalmaan bane hue the aur darparda kafir the,Rasoolullah Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ka majaaq udaane lage aur kahne lage ki hum log abhi In ke saath haiñ aur yeh(Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam) hum logoñ ko musalmaan samajhte haiñ,aur yeh d'awaa karte haiñ ki logoñ ko paidaish se pahle Aap(Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam)Momin aur kaafir ko pahchaante haiñ.Munaafiq logon ki bakwaas par Hudhoor Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam mimber shareef par khade hue aur Irshaad farmaayaa keh "logoñ(munaafiqoñ) kaa kyaa haal hai keh hamaare(Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam)I'lm maiñ t'anaa karte haiñ,Achchaa aaj se Qayaamat tak hone waale waaqia'at maiñ se jo chaaho Mujh Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam se pooch lo.Abdullah Ibne Hudhaafah Sahmi ne A'rdh kiyaa meraa baap kaun hai,Aap Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ne Farmaayaa Hudhaafah.Phir Hadhrat-e-U'mar Faarooq Radhiyallaaho A'nho ne A'rz kiyaa ki"Hum Allaah T'aalaa ke Rab(Azza wa jall) hone ,Aap Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam Ke Nabee Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam hone ,Islaam ke Deen hone par raadhee Hain.Tab Hudhoor Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ne Irshaad farmaayaa ki aaindaa(aage se) is qism ke t'anoñ se kyaa baaz rahoge?
Iss par ALLAAH TA~AALAA NE Yeh Aayat-e-Mubarikah Naazil farmaai.AUR APNE HABEEB Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam Ki Tasdeeq Farmaai.
Dar Asal “Nabee” Is Lafz Kaa Matlab Hee “G`aib Kee Khabar Dene Waalaa” Hotaa Hai.To jo log ANBIYAA A`LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM KE I`LM-G`AIB SHAREEF par IMAAN naheen rakhte who log darasal ANBIYAA A`LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM KEE NABOOWAT Ke munkir hain.
Iss Aayate Mubaarikah Kaa Tarjumah Is Tarah Hai ALLAAH T`AALAA MUSALMAANON KO ISS HAAL PAR CHODNE KAA NAHEEN JISS PAR TUM HO,JAB TAK JUDAA NAH KAR DE GANDE KO SUTHRE SE, AUR ALLAAH T`AALAA KI SHAAN YEH NAHEEN HAI KEH AIY A`AM LOGO TUMHEIN G`AIB KAA I`LM DE ,HAAN ALLAAH T`AALAA CHUN LETAA HAI APNE RASOOLON SE JISE CHAAHE TO IMAAN LAAO ALLAAH T`AALAA AUR USKE RASOOLON[A`LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM] PAR AUR AGAR IMAAN LAAO AUR PARHEZGAREE KARO TO TUMHAARE LIYE BADAA SAWAAB HAI.
Isse chand Masaa-el m'aloom hue.Ek yeh ki Allah T'aalaa ne Hudhoor Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ko Qayaamat tak ke har waaqia ki khabar dee aur Apne A'zza wa jalla khas Gaib(Chupi hui khabreiñ yaa baateiñ)par Muttala' farmaayaa.Aur doosray yeh ki Hudhoor Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ke Ilm-e-Mubaarak par a'etaraaz karnaa munaafiqoñ kaa kaam hai.Teesre yeh ki Hudhoor Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam ko aisi poshidah baatoñ ki bhi khabar hai jis ki khabar doosroñ ko nahiñ hoti.Hadhaafah kaa Abdullah ka baap hona yeh woh posheedah khabar hai jis ki khabar siwaa un ki maañ ke kisi ko naheiñ magar Aap Sallallaho alaihe wa aalihi wa sallam usay bhi jaante haiñ.
Surah AalImraan shareef ki is Aayate Mubarak main munaafiqeen ko khabees Aur Momineen ko Taiyyib kaha gaya hai.Aur RAB Azza wa Jall ne Yeh Wa`dah bhi Farmaya hai ki Rab Ta`aala Aisi khooli huiee Daleelein(Nishaaniyaan) Bhi Apne bandon ko I`naayat Farmaayega(Bataayegaa) ki jis ki Ba-daulat khabees(munaafiqeen) Aur Taiyyib(Momineen) ke beech main badi aasani se farq ho sake ga.Aur hamare Pyaare RABB-E-ZULJALAAL-E-WAL-IKRAAM Ne fauran hi aik khas Aur Pahlaa FARQ Momin aur munaafiq ka Isi Aayat-e-Mubaarak main bataa bhi diya,Who yeh ki MERE Habeeb Sallallaaho Alaihe Wa Aalihi Wa Sallam Ke I`lm-E-Gaib Shareef mein shak karne waalaa munafiq hai Aur Manne waalaa Momin Hai.
JO Log ROOHANIYAT YAA TASAWWUF, TAREEQAT(Baatini Shareea`t) Par IMAAN Rakhte Hain Who log ISS AAYAT-E-MUBAARIKAH KE MUTAABIQ YEH BAAT Zaroor Maante Hain Ki ALLAAH TA`AALAA NE APNE PYAARE RASOOLON ALAIHIMUSSALATO-WASSALAAM Ko I`LM-E-GAIB SHAREEF Zaroor Inaayat Farmaayaa hai.Bulki Yeh Bhee Maante Hain Ki ANBIYAA A`LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM KE SSADQE WA TUFAIL MAIN UN A`LAIHIMUSSALAATO WASSALAAM KEE UMMAT KE AULIYAA RIDWAANULLAAHE TA`AALAA ALAIHIM AJMA`EEN KO BHEE I`LM-E-GAIB MILTAA HAI.
Iss Aayate-Mubaarikah se yeh bhi M`aloom Huaa ki Momin aur munaafiqon(kyon ki munaafiqon ki bahut si qismain hain) ke beech jo Farq ALLAAH TA`AALAA NE Bataaye hain unhein seekhnaa samajhnaa zaroori Hai.Kyonki agar yeh I`lm zaroori na hotaa to RAB TA`AALAA Un Farqon ko Hargiz na Bataataa. .Dar asal Yeh I`lm Seekhnaa FARZ hai Kyonki Iss ke bag`air IMAAN ki Hifaazat naheen ho sakti AUR IMAAN Ki HIFAAZAT FARZ Hai.
Apni mashhoor-E-zamaana kitaab ANFAASU-L-AARIFEEN Main Hazrat Shah Waliyullah Radiyallaho Ta`aala A`nho Ne Apne Waalid Maajid Hazrat Shah Abdurraheem Radiyallaho Ta`aala A`nho Jo Ki Ek Bade Waliye Kamil Hain,Un Ka Waaqiaah Naql Karte Hain Ki Woh Radiyallaho Ta`aalaa Anho Farmaate Hain Ki Ek Baar Meraa Akbar Aabaad main Mirzah Zaahid se T`aleem ke douraan ek dafa`a Dars se waapasi par ek lambe kooche(Gali) se Guzar Huwaa.Us waqt Main Khoob Zouq Main Hazrat Shaikh S`adi shiraazi Radiyallaho Ta`aalaa Anho Ke yeh Asha`aar GunGunaa Rahaa thaa (Faarsi Main Hai)
Juz Yaad-E-Dost Har Chah Kuni U`mr Zaa-e Ast Juz Sirre I`shq Har Chah Bakhwaani Bataalat Ast
Sa`dee Na Shavee Louhe Dil Az Naqshe-GairE-HAQ I`lme keh RaahE-HAQ Nanumaayed Jihaalat Ast
Ittefaaq Ki Baat Choutha Misra`a Mere Zehan Se Utar Gayaa.IsTaar Ke Tootane Se Mere Dil Main Sakht Iztaraab Aur Be Zouqi Ki Kaifiyat Paida Hooi Keh Achaanak Ek Faqeer Mansh,Maleeh Chehrah,Daraaz Zulf,Peer Mard Namoodaar Hooe Aur Unhon Ne Mujhe Luqmah Diyaa I`lme keh RaahE-HAQ Nanumaayed Jihaalat Ast ,Main Radiyallaho Ta`aalaa Anho Ne Kahaa Jazaakallaah Khairuljazaa Aap Ne Mujhe kitni preshaani se Nijaat Dilaai Hai AurMain Ne Un Ki Khidmat Main Kuch Paan Pesh Kiye,Unhon Ne Muskuraate Hooe Farmaayaa`Yeh Bhoolaa Hoowaa Misra`a Yaad Dilaane ki mazdoori hai? Main Ne A`rz Kiyaa `Naheen` Yeh To Batour Hadyah Aur Shukriyah Pesh Kar Rahaa Hoon.Iss Par Unhon Ne Farmaayaa”main Paan Iste`maal Naheen Kiyaa Kartaa”.Main Ne A`rz Kiyaa”paan Ke Iste`maal Main Koi Share`e Paabandi Hai Yaa Tareeqat Ki Rookaawat? Agar Koi Aisi Baat Hai To Mujhe Bataaiye Taaki Main Bhi Iss Se Ehtraaz Karoon.”Unhon Ne Farmaayaa”Aisi Koi Baat Naheen` Albattah Main Paan Naheen Khaayaa Kartaa”.Phir Farmaane Lage”Mujhe Jaldi Jaanaa Hai”.Main Ne Kahaa”Main Bhi Jaldi Chaloongaa”.Unhon Ne Farmaayaa”Main Jald Tar Jaanaa Chaahtaa Hoon”.Yeh Farmaakar Unhon Ne Qadam-e-Mubaarak Uthaayaa Aur Koochah(Gali) Ke Aakhir Main Rakkha.Main Ne Jaan Liyaa Keh Kisi Ahlullah(Allah waale) Radiyallaho Ta`aalaa Anho Ki Rooh-E-Mubaarak Insaanee Shakl Main Jalwah Gar Hai,Main Ne Aawaaz Dee Keh Apne Naam Se To Ittilaa`a Dete Jaaiye Taa Keh Faatihah To Padh Liyaa Karoon`.Farmaayaa”Faqeer Ko S`adee Radiyallaho Ta`aalaa Anho Kahte Hain.(Ridwaanullaahe T`aalaa A`laihim Ajma`een).Y`ani Hazrat Shaikh S`ADEE Radiyallaho T`aalaa A`nho Ne Apne Intiqaal Ke Chaar Sou Saal B`ad Bhi Yeh Bataayaa Ki Mujhe RAB T`AALAA Ki A`taa Se Duniyaa Ke Haalaat Ki Khabar Hai Ki Kaun Kahan Mere Ash`aar Padh Rahaa Hai Aur Main RAB T`AALAA KI Dee Hooi Taaqat Se Kisi Ki Bhi Madad Kar Saktaa Hoon.
Aise Bakasrat Waaqiyaat AHL-E-SUNNAT WAL JAMA`AT Ki Kitaabon Main Milte Hain Jo Karaamaat-E-Auliya Aur Karaamaat-E-Sahaabah Ridwaanullah-E A`laihim Ajma`een Hain.KARAAMAT Yeh Lafz “KARAM” Se Banaa Hai Jis Kaa Matlab Hotaa Hai “I`zzat”.Y`ani Allaah T`aalaa Apne Pyaare Bandon Ko Karaamaat Ke Zaree`a Se I`zzat Detaa Hai.Ab jo Karaamaat Kaa Munkir(inkaari) hai who haqeeqat main Allah Waalon Ridwaanullaahe T`aalaa A`laihim Ajma`een Ki I`zzat kaa munkir hai.
Assl main wohee shakhs gumraah hotaa hai jo AULIYAA ALLAAH Ridwaanullaahe A`laihim Ajmae`en Ko
Chodta hai.

Saturday, January 22, 2011

Zaroori Baat-1

ALHAMDOLILLAHE RABBILAALAMEEN.WAL-AAQIBATULILMUTTAQEEN.ASSALATO-WASSALAMO ALAA RASOOLIHIL-KAREEM.Wa A'laa aalihi wa asshaabihi wa auliyaa-e-ummatihi wa ummatihi wa baarik wa sallim. Imaan waala usay kahte haiñ jo kaafir naheeñ hota,aur kaafir usay kahtay haiñ jo kisi eik bhi zaroorate deen ka inkaar kartaa hai,aur deen us cheez ka naam hai jis ke waseele se sab ke paidaa karne waale RAB T'AALAA Ki pahchaan hoti hai.Isi liye yeh qaanoon ALLAH A'ZZA WA JALLA WAALOÑ(RIDWAANULLAHE A'LAIHIM AJMA'EEN)NE bataayaa hai ki DEEN-E-HAQ ki buniyad RAB T'AALAA KI PAHCHAAN PAR HAI.HAMAARE AAQAA WA MOULA HUDHOOR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM JO KUCCH BHI RAB T'AALAA KE TARAF SE LAAYE HAIÑ UN MEIÑ SE KISI EIK BAAT KO NA MAANNAA DEEN KI ZAROORAT KAA INKAAR (KUFR) HAI.SARKAAR SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM RAB T'AALAA KE PAS SE JO LAAYE HAIÑ UNHEIÑ HI MAANNAA IMAAN LAANAA HAI.