Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Saturday, January 22, 2011

Zaroori Baat-1

ALHAMDOLILLAHE RABBILAALAMEEN.WAL-AAQIBATULILMUTTAQEEN.ASSALATO-WASSALAMO ALAA RASOOLIHIL-KAREEM.Wa A'laa aalihi wa asshaabihi wa auliyaa-e-ummatihi wa ummatihi wa baarik wa sallim. Imaan waala usay kahte haiñ jo kaafir naheeñ hota,aur kaafir usay kahtay haiñ jo kisi eik bhi zaroorate deen ka inkaar kartaa hai,aur deen us cheez ka naam hai jis ke waseele se sab ke paidaa karne waale RAB T'AALAA Ki pahchaan hoti hai.Isi liye yeh qaanoon ALLAH A'ZZA WA JALLA WAALOÑ(RIDWAANULLAHE A'LAIHIM AJMA'EEN)NE bataayaa hai ki DEEN-E-HAQ ki buniyad RAB T'AALAA KI PAHCHAAN PAR HAI.HAMAARE AAQAA WA MOULA HUDHOOR MOHAMMADURRASOOLULLAH SALLALLAAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM JO KUCCH BHI RAB T'AALAA KE TARAF SE LAAYE HAIÑ UN MEIÑ SE KISI EIK BAAT KO NA MAANNAA DEEN KI ZAROORAT KAA INKAAR (KUFR) HAI.SARKAAR SALLALLAHO A'LAIHE WA AALIHI WA SALLAM RAB T'AALAA KE PAS SE JO LAAYE HAIÑ UNHEIÑ HI MAANNAA IMAAN LAANAA HAI.