Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Thursday, December 13, 2018

Laakh Gunahgar Hai Lekin Mere صلي الله عليه و اله وصحبه وسلم Sahabaرضوانالله عليهم اجمعين Ka Gustakh To Nahin

Laakh Gunahgar Hai Lekin Mere Sahaba Ka Gustakh To Nahin

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Ke Pados Mein Ek Fasiq -o- Fajir Shakhs Rehta Tha
Ek Din Usne Imam Ahmad Bin Hambal Ko Salam Kiya To Aapne Sahih Se Jawab Na Diya Aur Nakhushi Ka Izhar Kiya

Us Shakhs Ne Kaha : Aye Abu Abdullah! Aap Mujhse Nakhush Kyun Hain? Aapko Mere (Gunaho Ke) Baare Mein Jo Kuchh Maloom Hai, Ek Khwab Dekhne Ke Baad Main Usse Tauba Kar Chuka Hoon
Imam Ahmad Bin Hambal Ne Farmaya : Tumne Kya Khwab Dekha?
Us Shakhs Ne Kaha : Mujhe Khwab Mein Jaan -e- Jahan, Sarwar -e- Kauno Makaan ﷺ Ki Is Tarah Ziyarat Huyi Ke Aap ﷺ Zameen Ke Ek Buland Hisse Par Tashreef Farma Hain Aur Bahut Se Log Niche Baithe Huye Hain
Un Mein Se Ek Ek Shakhs Uth Kar Aap ﷺ Ki Khidmat Mein Haazir Hota Aur Arz Karta Ke Huzoor Mere Liye Dua Farmayein
Aap ﷺ Har Ek Ke Liye Dua Farmate, Wahan Maujood Tamam Logon Ne Dua Karwayi, Sirf Main Baaqi Reh Gaya
Maine Khade Hone Ka Irada Kiya Lekin Apne Bure Amaal Ki Bina Par Sharma Gaya Aur Mujhe Uthne Ki Himmat Na Huyi
Rehmat -e- Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya : Aye Fulan, Tu Uth Kar Humare Paas Kyun Nahin Aata, Humse Dua Ki Darkhwast Kyun Nahin Karta? Taaki Hum Tere Liye Bhi Dua Karein
Maine Arz Kiya Ke Ya Rasoolallah ﷺ! Mere Kartoot Bahut Bure Hain Jiski Wajah Se Main Sharminda Hoon Aur Ye Sharmsari Mujhe Khada Hone Se Rok Rahi Hai
Sultan -e- Do Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya. : Agar Sharm Tujhe Khada Hone Se Rok Rahi Hai To Hum Tumhein Kehte Hain Ke Uth Kar Humse Darkhwast Karo, Hum Tumhare Liye Dua Karenge (Subhan Allah) Kyunki Tum (Gunahgar To Ho Lekin) Humare Kisi Sahabi Ko Gaali Nahin Dete (Unki Burayi Nahin Karte)

Main Uth Kar Khada Ho Gaya, Aap ﷺ Ne Mere Liye Bhi Dua Farmayi, Main Jab Bedaar Hua To Mujhe Apne Tamam Bure Kaamo Se Nafrat Ho Chuki Thi

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Apne Shagirdo Ko Hukm Diya Karte The Ke Is Hikayat Ko Yaad Kar Lo Aur Ise Bayan Kiya Karo Kyunki Ye Fayedemand Hain

(انظر: مصباح الظلام بہ حوالہ طبقات الحنابلہ از قاضی ابو یعلی حنبلی، 118/1)

Allah Ta'ala Humein Sahaba -e- Kiraam Ki Sachhi Muhabbat Ata Farmaye Aur Unke Gustakho Ki Sohbat Se Bachaye (Aamin)

Tuesday, December 4, 2018

Har Kitab Ki Har Baat Laayiqe Aitbar Nahi

Har Kitab Ki Har Baat Durust Wa Sahi Nahi Hoti, Jo Kitab Quran Wa Hadees Aur Irshadate Ulma Ke Mutabik Ho Woh Laayiqe Aitbar Hai Warna Us Par Amal Jayez Nahi.
Amirul Mominin Farooq E Azam Hazrat Umar Ibne Khattab Radiyallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai :
"Jab Tum Me Koi Ek Kitab Paaye Jisme Ilm ki Baat Hai Aur Use Kisi Aalim Se Na Suna To Bartan Me Paani Manga Kar Woh Kitab Usme Doobo De Ki Siyahi Safedi Sab Ek Ho Jaye."
=> Khatib E Bagadadi
=> Fatawa Razaviyah
Part-6 Page-308
=> Faizane Alahazrat
Page-108
Matlab Ki Bad Mazhab Aur Gairo Ki Kitabe Laayiqe Aitbar Nahi, Ye Log Quran O Hadees Tod Marod Kar Pesh Karte Hai Ki Saamne Wala Uska Matlab Ulta Samjega.
Aur Aksar Ye Log Quran O Hadees Me Na Ho Aisi Baate Ijad Karte Hain Jo Shariat Se Takrati Hai.
Agar Koi Aap Koi Ilmi Baat Bataye Chahe Koi Chhota Sa Masla Hi Kyun Na Ho, Us Baat Ko Jab Tak Aap Ahlesunnat Wal Jamaa't Ke Aalim Se Na Puchhlo Us Par Aitbar Na Karo Haan Agar Wo Shakhs Ahlesunnat Wal Jamat Se Ho Aur Shariat Ka Paband Ho To Uski Baat Maan Le.

Saturday, December 1, 2018

MAALIK-E-KOUNAIN ﷺ


*_LA WA RABBIL ARSH JISKO JO MILA UNSE MILA_*
*_Batti Hai Konain Me Naimat RASOOL-ALLAH Ki_*
*Hazrat Aamina ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮩﺎ Farmati Hai :
*_"Jab HUZUR E AKRAM Mere Shikam Se Paida Hue Maine Dekha (Aap) Sajde Me Pade Hai, Phir Ek Safed Abr (Badal) Ne Aasman Se Aakar HUZUR E AKRAM ﷺ Ko Dhanp Liya Ki Mere Samne Se Gaayib Ho Gaye, Phir Wo Parda Hata To Mai Kya Dekhti Hu Ki HUZUR E AKRAM ﷺ Ek Ooni Safed Kapde Me Lipte Hai Aur Sabz Reshmi Bicchhona Bichha Ha Aur Gohar Shadab Ki 3 Kunjiya HUZUR E AKRAM ﷺ Ki Mutthi Me Hai Aur Ek Kehne Wala Keh Raha Hai Ki Nusrat Ki Kunjiya, Nafa Ki Kunjiya, Nabuwwat Ki Kunjiya Sab Par MUHAMMAD ﷺ Ne Kabza Farmaya._*
*_Phir Aur Abr Ne Aa Kar HUZUR E AKRAM ﷺ Ko Dhanp Liya Ki Meri Nazar Se Chhup Gaye, Phir Roshan Hua To Mai Kya Dekhti Hu Ki Ek Sabz Resham Ka Lipta Hua Kapda HUZUR E AKRAM ﷺ Ki Mutthi Me Hai Aur Koi Munadi Pukar Raha Hai Waahh Waahh Saari Dunya MUHAMMAD ﷺ Ke Kabze Me Aayi Zameen Wa Aasman Me Koi Makhlooq Aisi Na Rahi Jo Unke Kabze Me Na Aayi."_*
*ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ *
*[ Al Khasaise Kubra Ba Havala Abu Nu'aem 1/48 ]*
*[ Fatawa Razaviyya Jild : 30 Safha : 429, 430 ]*