Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Monday, September 9, 2013

Mushtabah Oomoor


BISMILLAHIRRAHMAANIRRAHEEM
Nahmaduhu Wa Nusallee Wa Nusallimu A`laa Rasoolihil-Kareem
Agar Koyee Insaan Apne Yaa Kisee Aour Ke Baare Yeh Jaannaa Chaahtaa Hai Ki Woh Insaan Achchaa Hai Yaa Kharaab To Woh Insaan Yeh Dekhe Kee Mushtabah(Shak Waalee Baaton) Yaa Ikhtilaafee Oomoor Ke Baare Main Woh Insaan Ihtiyaatee Tour Par Door Rehtaa Hai Yaa Nahein.
Sooreh Nisaa Kee Aayat No 59 Main Rab Tabaarak Wa T`aalaa Irshaad Farmaataa Hai “Aiy Imaan Waalo Hukm Maano Allaah T`aalaa Kaa Aour Hukm Maano Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Aour Oon Kaa Jo Tum Main Hukoomat Waale Hain Phir Tum Main Agar Kisee Baat Kaa Jhagdaa Oothe To Oose Allaah T`aalaa Aour Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Hudhoor(Saamne) Rujoo`a Karo(Waapas Laawoo) Agar Allaah T`aalaa Aour Qayaamat Par Imaan Rakhte Ho Yeh Behtar Hai Aour Is Kaa Anjaam Sab Se Achchaa”.
Yeh Aayat-E-Mubaarikah Islaamee Qaanoon Yàni I`lm-E-Fiqah Ke Leeye Buniyaad Maanee Gayee Hai.Aour Is Aayat-E-Mubaarak Kee Kaafee Tafseer Aùlmaa Ne Farmaayee Hai.Is Aayat-E-Kareemah Main Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Ne Quraan Wa Hadees Ke Bàd Aoulmaa-E-Haq Kee Ittibaa`Kaa Hukm Deeyaa Hai, Lekin Khabardaar Farmaate Hooye Yeh Bhee Bataa Diyaa Hai Kee Agar Kisee Naye(New) Masàle Main Jab Aoulmaa Main Agar Jhagdaa Oothe, Ikhtilaaf Nazar Aaye(Yàni Masale Main Shak Wa Shoobah Khadaa Ho) To “Imaan Yaa A`amal”Kee Hifaazat Ke Leeyee Aour Qayaamat Main Achche Anjaam Ke Leeye Oos Masa`le Main Ikhtilaafee Yàni Mushtabah Cheez Par Hargiz A`mal Nah Kiyaa Jaaye.Aour Aage Kee BukhaaRee Shareef Kee Hadees Shareef Main To Mushtabah(Shak) Waalee Baaton Par A`mal Karnaa To Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Ne Dil Kee Beemaaree Qaraar Dee Hai.


Ssaheeh Bukharee Shareef Main Hadhrat Nòa`maan Ibne Basheer Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Farmaate Hain Ki Main Ne Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Se Soonaa Ki Aap Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Farmaate The Ki Halaal Zaahir Hai Haraam Bhee(Zaahir Hai) Aour Donon Ke Darmiyaan Main Shubah Kee Cheezen Hain Ki Jin Ko Bahut Se Log Nahein Jaante Pas(To) Jo Shakhs Shoobah(Shak) Kee Cheezon Se Bache Oos Ne Apne Deen Aour Apnee Aabroo Ko Bachaa Liyaa Aour Jo Shakhs Shubhon(Shak Kee Cheezon) Main Mubtalaa Ho Jaaye(Oos Kee Misaal Aisee Hai) Jaise Ki Jaanvar Shaahee Charaagaah Ke Qareeb Char Rahaa Ho Jis Ke Motaàlliq(Baare Main) Andeshah(Khatrah) Hotaa Hai Ki Aik Din Oos(Shaahee Charaagaah) Ke Andar Bhee Daakhil Ho Jaaye Logo! Aagaah Ho Jaawo Ki Har Baadshaah Kee Aik Charaagaah Hai,Aagaah Ho Jaawo Ki Allaah Tàalaa Kee Charaagaah Oos A`zza Wa Jall Kee Zameen Main Oos A`zza Wa Jall Kee Haraam Kee Hooyee Cheezen Hain, Khabardaar Ho Jaawo Ki Badan Main Aik Tukdaa Gosht Kaa Hai,Jab Woh Sanwar Jaataa Hai To Tamaam Badan Sanwar Jaataa Hai Aour Jab Woh Kharaab Ho Jaataa Hai To Tamaam Badan Kharaab Ho Jaataa Hai,Suno Woh Tukdaa Dil Hai.
Is Hadees Shareef Ke Mutaabiq Sab Se Pahle Halaal Wa Haraam Kaa Zyaadah Se Zyaadah Waazah I`lm Haasil Karnaa Chaahiye. Phir Jo Oos Dour Ke Mushtabah Baatein Hain Phir Woh Chaahe A`qeede Kee Hon Yaa A`mal Karne Kee Oon Kaa I`lm Haasil Kar Ke Shokook Door Karnaa Chaahiye.Aour Jab Tak Ki Shak Door Nah Ho Hargiz Oos Cheez Par Nah A`mal Kare(Majbooree Kee Baat Aour Hai), Aour Nah Shak Door Kiye Bagair Waisaa A`qeedah Banaaye.
To Jab Tak Kisee Bhee Masa`le Ke Baare Main Shak Ho Yaa Ilm `Nah Ho Oos Ke Baare Main Yeh A`qeedah Rakhe Ki “Hamaaraa Har Baare Main Wohee A`qeedah Hai Jo Ahl-E-Sunnat Wal Jamaàt Kaa Hai”.
(Agar Koyee Yeh Kahe Ki Hamein Sirf Quraan Paak Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`qeedah Rakhnaa Chaahiye To Oos Kaa Jawaab Yeh Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Ne Quraan Paak Kee Tafseer Apnee Raaye Se Karnaa Gunaah Qaraar Diyaa Hai Ahaadees Ke Ssaheeh, Hasan Aour Zaèef Hone Kaa Faislah Ijmaa-E-Ummat Yàni Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Waqt Se Lagaataar Aaj Tak Ke Aulmaa-E-Haq Aour Aouliyaa-E-Kiraam Ridhwaanullaahi A`laihim Ajma`een Se Hotaa Hai.
Ab Yahaan Par “Islaam” Kaa Yeh Aik Khaas Zarooree Qanoon Hai Ki Islaam Ke Saare Masàle Jin Ke Baare Main Ham Jaante Hon Yaa Nah Jaante Hon Hamain Yeh A`qeedah Rakhnaa Chaahiye Ki Hamaaraa Har Baare Main Wohee A`qeedah Hai Jo Ahl-E-Sunnat Wal Jamaàt Kaa Hai.Kyon Kee Ahaadees Se Saabit Hai Ki Sachche Imaan Waalon Kaa Aik Giroh Hameshah Har Dour Main Qayaamat Tak Seedhe Raaste Par Rahegaa Aour Gumraah Nah Hogaa., Aour Hamein Oos Sachche Giroh Ko Pehchaan Kar Oos Ke Saath Hoone Kaa Hukm Hai.
Ooper Sooreh Nisaa`Shareef Kee Aayat Number 59 Main Aour Bukhaaree Shareef Kee Hadees Shareef Main Jo Mushtabah Omoor Se Bachne Kaa Jo Hukm Deeyaa Gayaa Hai Oos Main Bahut See Hikmatein Hain.Sab Se Badee Hikmat To “Imaan” Kee Hifaazat Kee Nazar Aatee Hai,Kyon Kee Aàm Tour Par Gumraah Yaa Kaafir Firqe Isee Ahl-E-Sunnat Wal Jamaàt Ke Sachche Firqe Se Nikal Kar Alag Hote Hain,To Jab Woh Firqe Alag Nikalte Hain To Koyee Aisee Nayee Bad A`qeedgee Yaa Bida`t-e-siyah Le Kar Nikalte Hain Jis Ko Bahut Se Aulmaa-E-Haq To Pehchaan Lete Hain Lekin Bahut Se Aàm Log Nahein Pahchaan Paate Aour Shak Wa Shoobah Main Pad Jaate Hain. Aour Oos Naye Gumraah Firqe Ke Jo Aulmaa-e-soo Yàni Gumraah Aàlim Jo Hote Hain Woh Apnee Nikaalee Hooyee Bida`t Ko Saheeh Saabit Karne Kee Koshish Karte Rahte Hain.Is Ke Nateeje Main Aulmaa-E-Haq Aour Aulma-e-soo Ke Beech Jhagdaa Shooroo`Ho Jaataa Hai Aour Ooper Kee Aayat Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`mal Kar Ke Jo Shakhs Oos Nayee Jhagde Waalee Yàni Mushtabah Cheez Par A`mal Se Door Rehtaa Hai Woh Dar-Haqeeqat Bida`t-e-siyah Se Door Rehtaa Hai Woh Oos Naye Gumraah Firqe Ke Shar Se Bachaa Rehtaa Hai.To Saaf Zaahir Hai Ki Imaan Kee Hifaazat Ke Leeye Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Is Baat Kaa Sooreh Nisaa Shareef Kee Is Aayat-E-Mubaarak Main Zikr Farmaayaa Hai Ki “Yeh Behtar Hai Aour Is Kaa Anjaam Sab Se Achchaa”.Lekin Jaise Ki Is Aayat-E-Mubaarak Main Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Saaf Farmaayaa Hai Agar Allaah T`aalaa Aour Qayaamat Par Imaan Rakhte Ho Ke Mutaabiq In Baaton(Mushtabah Baaton) Kee Taraf Sirf Woh Gòur Karte Hain Jinhein “Imaan” Kee Fikr Hotee Hai.Aour Ooper Hadees Shareef Main Bhee Saaf Tour Par Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Ki Oos Ne Apne Deen Aour Apnee Aabroo Ko Bachaa Liyaa.SUBHÀANALLAAH
To Jo Log “Mushtabah Omoor”Main Gòur Nahein Karte Oon Logon se Door Rehne Main Hee “Imaan” Kee Hifaazat Hai.
To Saaf Zaahir Hai Ki Gumraah Firqon Ke Shar Se Bachne Ke Leeye Is Aayat-E-Mubaarikah Aour Is Hadees Shareef Ke Mutaabiq Qayaamat Tak Har Dour Main A`mal Karnaa Zarooree Hai.Be Shak Yahaan Dil Kee Achchaayee Aour Kharaabee Kaa Pataa Chaltaa Hai.
Is Aayat-E-Mubaarikah Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`mal Karte Hooye Lagaataar Mushtabah Aour Ikhtilaafee Oomoor Ke Baare I`lm-E-Deen Seekhte Rahne Kee Doosree Zabardast Barkat Yeh Hotee Hai Kee Aadmee Mushtabah Omoor Phir Chaahe Woh A`mal Ke Baare Main Hon Yaa A`qeede Ke Baare Main Bahut Koshish Kartaa Hai Aour Bahut Badaa Aàlim Ban Jaataa Hai.Oose I`lm-E-Fiqah Ke Chaaron Osool Aour Har Osool Kee Kaafee Kuch Tafseel Kaa Pataah Chal Jaataa Hai.Yàni Quraan Paak Aour Quraan Paak Kee Tafseer, Ahaadees-E-Shareefah Aour Oosool-E-Hadees Wa Sharah Hadees Ijmaa`-E-Ummat Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Waqt Se Lagaataar Aaj Tak Ke Aulmaa-E-Haq Aour Aouliyaa-E-Kiraam Ridhwaanullaahi A`laihim Ajma`een Kaa Saath Pakadnaa Aour “Qayaas” Yàni Kounsaa Nayaa Kaam Sunnat-E-Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Ke Mutaabiq Hai Aour Kounsaa Kaam Sunnat-E-Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Sallam Ke Khilaaf Hai (Isee Ko Bidàt Kaa I`lm Bhee Kahte Hain) ,Is Ka Achche Se Is Aayat-E-Mubaarikah Aour Is Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`mal Karne Waale Ko “I`lm”Haasil Ho Jaataa Hai.
Aaj Duniyaa Main Musalmaanon Kee Haalat Kharaab Hain. Is Kee Sab Se Badee Wajah Bad-mazhab Giroh Hee Hain.Lekin Itnaa Sab Kuch Ho Jaane Ke Bàd Bhee Is Aayat-E-Mubaarikah Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`mal Karne Par Musalmaanon Kaa Aàm Tour Par Zyaadah Iraadah Nahein Dikhtaa.Aaj Ke Jo Ikhtilaafee Masàle Jo Bhee Hon Oon Main Yeh Teen Masàle Khaas Hain 1)Loud Speaker Par Namaaz Padhnaa 2)Video Shooting 3)T.V.Channel
In Par Aour In Jaise Masa`lon Par Ooper Kee Aayat Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq Har Musalmaan Ko Shak Wa Shoobah Door Hone Tak I`lm Haasil Karnaa Chaahiye,Aour Jab Tak Khood I`lm-E-Qataèe Haasil Nah Ho Jaaye Ki Haq Kyaa Hai Aour Baatil Kyaa Hai Ooper Kee Aayat Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq Hargiz Raazee Khooshee Se A`mal Nah Kare Aour Ikhtilaafee,Mushtabah Omoor Kee Tarafdaaree Main To Hargiz Nah Bole.Kyon Ki Is Par Ooper Kee Aayat-E-Mubaarak Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq Qayaamat Ke Roz Achche Anjaam Aour Achche Dil Kee Khoosh Khabree Hai.Aor Agar Bagàir I`lmee Samajh Aour Mushtabah I`lmee Haalat Main Tarafdaaree Kee Gayee To Qayaamat Ke Roz Achche Anjaam Se Dooree Kaa Dar Hai Aour Kharaab Dil Kee Waèed.
Aour Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Ham Logon Ko Daraate Hooye Sooreh An-Nahl Shareef Aayat Number 116 Main Irshaad Farmaataa Hai “Aour Nah Kaho Oose Jo Tumhaaree Zabaanein Jhoot Bayaan Kartee Hain Yeh Halaal Hai Aor Yeh Haraam Hai Ki Allaah Tàalaa Par Jhoot Baandho”Yàni Halaal Ko Haraam Aour Haraam Ko Halaal Bolnaa Allaah Tàalaa Par Jhoot Baandhnaa Hai.Jo Kee Màazallaah Tàalaa Kufr Hai.Hudhoor Aàlaa Hadhrat Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Ne Fataawaa Ridhwiyah Shareef Main Saaf Tasreeh Farmaayee Hai Kee Halaal Ko Haraam Aour Haraam Ko Halaal Bolnaa Kufr Hai.Is Fatwe Ko Dekhne Ke Leeye Is Link Par Click Karein......
http://aalaahazrat.blogspot.in/2013/01/blog-post_7122.html
To Mushtabah Baaton Main Bolnaa Aadmee Ke Munh Se Kufr Bhee Nikalwaa Saktaa Hai.
Ooper Kee Aayat-E-Mubaarak Aour Hadees Shareef Kee Hikmat Main Aik Sochne Kee Baat Hai Ki Ooper Kee Aayat-E-Mubaarikah Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq A`mal Kaa Hukm To Sabhee Ko Hai,Agar Sabhee Log Ooper Kee Aayat-E-Mubaarikah Aour Hadees Shareef Ke Mutaabiq Ikhtilaafee Masaael Par Gòur Karenge To I`lm-E-Fiqah Kee Baareekiyaan Aour Bad-mazhabon Se Bachaaw Kaa I`lm Aour Sunnat-E-Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa I`lm Aour Bida`t Kee Baareekiyon Kaa I`lm Aàm Logon Ko Haasil Ho Jaaye To Kyaa Bad-mazhabiyat Kaa Zor Kam Nah Ho Jaayegaa.

No comments:

Post a Comment