Ulama Ambiya A'laihimussalatowassalaam Ke Waris Hain
Quraan -o- Ahadees Mein Muta'addid Maqamat Par Ulama -e- Haque Ki Azmat -o- Ahmiyat Ko Bayaan Kiya Gaya Hai
Kahin Ulama Ki Tazeem Ko Allah -o- Rasool Ki Tazeem Qarar Diya Gaya Hai To Kahin Ulama Ka Zikr Firishto Ke Saath Kiya Gaya Hai! Ulama Ki Shaan -o- Shaukat Ka Kya Kehna Ke Khud Aamina Ke Laal, Rasool -e- Be Misaal, Nabiye Kareem ﷺ Ne Inhein Apna Aur Ambiya -e- Kiraam A'laihimussalatowassalaam Ka Waris Banaya Hai
Hadees -e- Paak Mein Irshad -e- Nabawi Hai :-
ان العلماء ورثۃ الانبیاء
(ملتقطاً: سنن ابی داؤد، ج2، کتاب العلم، ح3641-
و ابن ماجہ، ج1، ح223)
Tarjuma : Ulama Ambiya A'laihimussalatowassalaam Ke Waris Hain
Is Riwayat Ko Padh Kar Baaz Logon Ko Shubah Ho Sakta Hai Ke Yahan Ulama Se Kaun Muraad Hain? Kya Isse Sirf Auliya -e- Deen Muraad Hain Ya Har Aalim -e- Deen?
Is Ziman Mein Hum Fatawa Razviya Se Ek Iqtebas Pesh Karte Hain, Mulahiza Farmayein :-
Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Do Logon Ke Mutalliq Sawal Hua Jin Mein Se Zaid Ka Kehna Hai Ke "Ulama Ambiya Ke Waris Hain" Mein Ulama -e- Shariat Wa Tareeqat Dono Dakhil Hain Aur Jo Shariat Wa Tareeqat Ka Jaame Hai Wo Wirasat Ke Azeem Martabe Par Faayez Hai Jabki (Dusre Shakhs) Amr Ka Bayaan Hai Ke Shariat To Bas Naam Hai Chand Faraiz Wa Wajibaat Wa Sunan Wa Mustahibbaat Wa Chand Masail -e- Halaal -o- Haraam Ka Aur Tareeqat Naam Hai Wusool Ilallah (Allah Ka Qurb Haasil Karne) Ka Aur Is Mein Haqeeqat -e- Namaz Waghaira Munkashif Hoti Hai
Tareeqat Behre Napeda Kinaar (Bina Kinare Ka Samandar) Hai Aur Darya -e- Zakhaar (Maujein Maarta Hua Darya) Hai Wo Is Darya Ke Muqable Mein Ek Qatra Hai
Wirasat -e- Ambiya Ka Yahi Wusool Ilallah Maqsood Wa Mansha Hai Aur Yahi Shaan -e- Risalat -o- Nuboowat Ka Taqaza Hai, Isi Ke Liye Wo Mab'oos Huye
Zahiri Ulama Kisi Tarah Is Wirasat Ke Qabil Nahin Ho Sakte Aur Na Wo Ulama -e- Rabbani Hain..... Alakh
Aala Hazrat Rahimahullah Ne Farmaya Ke Zaid Ka Qaul Haque Wa Sahih Aur Amr Ka Zaime Baatil Wa Qabeeh Wa Ilhaad -e- Sareeh Hai
(Amr Ke Bayaan Ka Radd Karte Huye Mazeed Farmate Hain Ke) Shariat Sirf Chand Ahkaam Ka Hi Naam Nahin Balki Tamam Akhaam -e- Jismo Jaan Wa Rooh -o- Qalb Wa Jumla Uloom -e- Ilahiya Wa Maarif -e- Na Mutanahiya Ko Jaame Hai Jin Mein Se Ek Ek Tukde Ka Naam Tareeqat Wa Marifat Hai (Mazeed Likhte Hain Ke) Tareeqat Mein Jo Kuchh Munkashif Hota Hai Wo Shariat Hi Ke Itteba Ka Sadqa Hai
Huzoor -e- Aqdas ﷺ Ne Umr Bhar Jis Raaste Ki Taraf Bulaya To Us Ka Khadim, Us Ka Haami Aur Us Ka Aalim Kyun Kar Unka Waris Na Hoga? Hum Puchhte Hain Ke Agar Bil Farz Shariat Sirf Chand Ahkaam Hi Ke Ilm Ka Naam Ho To Ye Ilm Rasoolullah ﷺ Se Hai Ya Kisi Aur Se? Islam Ka Daawa Karne Waala Ye Zaroor Kahega Ke Ye Ilm Huzoor Hi Se Hai, Phir Iska Aalim Huzoor ﷺ Ka Waris Na Hua To Kiska Hoga?
Ilm Unka Tarka Hai Phir Ise Paane Waala Unka Waris Na Ho Iske Kya Maana?
Agar Ye Kahe Ke Ilm To Zaroor Unka Hai Magar Dusra Hissa Yaani Ilme Baatin Isne Na Paaya Lihaza Waris Na Thehra To Aye Jahil! Kya Waris Ke Liye Ye Zaroori Hai Ke Moris Ka Kul Maal Paaye? Yun To Aalam Mein Koi Siddique Unka Waris Na Thehrega Aur Irshad -e- Aqdas "Ulama Ambiya Ke Waris Hain" Ghalat Ban Kar Muhaal Ho Jayega Ke Unka Kul Ilm To Kisi Ko Mil Hi Nahin Sakta
(ملتقطاً و ملخصاً: مقال العرفاء باعزاز شرع و علماء- یہ رسالہ فتاوی رضویہ کی 26 ویں جلد میں موجود ہے)
Mazkoora Iqtebas Ke Mutale Se Ye Khaljan Door Ho Jaana Chahiye Ke Ambiya A'laihimussalatowassalaam Ke Waris Kaunse Ulama Hain
No comments:
Post a Comment