Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Saturday, August 31, 2013

ALA HAZRAT PAR AE’TIRAZ KA JAWAAB


ALA HAZRAT PAR AE’TIRAZ KA JAWAAB

»»»►►► AE’TIRAZ:
A’la Hazrat ne sakht tauheen ki hai,Bibi Aaisha Radi ALLAHU Ta’ala Anha ki shaan mein ?

»»»►►► JAWAAB:

Hum is baat ka aisa jawab de rahe hain ki Devbandi mar to sakte hain magar A’la Hazrat (Rehmat ullah alhi) ki gustaakhi saabit nahin kar sakte.

»»►INSHA-ALLAH TA’ALA!

Haqeeqat ye hai ki A’la Hazrat ka wisaal 1921 iswi mein hua aur us waqt tak
Hadaaiq E Bakhshish ke 2 hisse sha’y'e (published) hue the.

Aap ke wisaal ke 2 saal ba’d 1923 C.E mein Maulana Mehboob Ali Quadri (Alaihir Rahma) ne aap ka kalaam mutafarriq jama’ karke Hadaaiq E Bakhshish hissa
som (Part iii / 3) ke naam se chhaap diya Press Nabh System Bombay se, kyonki kitaabat aur chhapayi ka sara press walon ko de
diya tha.

Press mein ek Khaarji bhi tha , us ne wo ash’aar Umme Zara’ mushrika aurton ke baare mein the, jin ka zikr Hadith ki kitabon mein hai Muslim Sharif, Tirmizi Sharif, Nasai Sharif.

Khaarji kaatib ne wo ash’aar Ummul Mu’mineen Aaisha Siddiqua Radi ALLAHU Ta’ala Anha ke naam par shaamil kar diye taaki Ahle Sunnat ke Aalim E Deen ko badnaam kiya ja sake.

Aur us hissa som (part iii) par A’la Hazrat ke naam ke saath “ Rahmatullahi Ta’ala
Alaih” likha hua hai, jo is baat ka saboot hai ki A’la Hazrat ne hissa som ( Part iii ) na tarteeb diya aur na sha’y’a kiya aur na unke ash’aar hain.

Lihaza ,ye ilzaam jhoot bolnewale pehle to ye saboot faraham karein ki ye hissa som A’la Hazrat ne tarteeb diya, sha’y’a kiya ho?

»»»►►► Warna jhooton par ALLAH ki laanat !!!!!!!!!!!!

Aur rahi baat Maulana Mehboob Ali Sahab ki, to us galti ki nishaandahi bhi Sunni-Barielvi Ulama ne ki hai, jin ka naam Allama Mushtaq Ahmed Nizami (Alaihir Rahma) hai.

Aur jab us gaflat ka ilm hua Mehboob Ali Sahab ko, to unhone apni “ana” ka masla
NAHIN banaya, jaise Devbandiyon ne gustaakhi karke apni “ana” ka masla bana liya, ►Bar-bar tawajjoh dilane ke ba’d bhi TAUBA nahin ki,
to Mehboob Ali Sahab ne
9 Zi-Qa’dah 1374 Hijri (1955 C.E),
Bombay ke haftawaar Akhbaar mein E’laaniya Tauba Sha’y’a ki aur ALLAH Ta’ala se maafi maangi aur istagfaar kiya .

Us waqt ke 119 Ulama ne fatwa diya ki E’laaniya Tauba karne ke ba’d Tauba
qubool hoti hai aur Tauba ka darwaza khula hai aur use kitabi shakl mein bhi
sha’y’a kar diya,ye shor khatm ho gaya,
aur 1955 C.E mein jab ye hungama khada hua to tamam zimmedari Mehboob Ali Sahab ke upar daal di ja rahi thi, kisi ek ne bhi A’la Hazrat ka naam na liya kyonki wo dekh chuke the ke hissa som A’la Hazrat ke wisaal ke ba’d Mehboob Ali Sahab ne sha’y’a kiya hai, magar Devbandi to udhaar khaaye baithe the, A’la Hazrat ki dushmani mein wo ye mauqa kab haath se jaane dete!

Lihaza aaj tak waqtan-fouqtan is gustaakhi ko uchhaalte hain aur A’la Hazrat ke maqaam ko logon ke dilon se nikaalna chaahte hain.

Kya Devbandiyon mein ek mard bhi aisa nahin jo Insaaf-pasand ho,haqeeqat-
pasand ho ???

Aur bataiye ki A’la Hazrat ke wisaal ke ba’d unki taraf dusre ki galti mansoob karna HIMAAQAT,JIHAAL
AT,BE-SHARMI, BE-GAIRATI hai ya nahin????

Shayad Tauba ka darwaza Devband mein hai,jab chaahe khol de, jab chaahe band kar de!!!!!!

No comments:

Post a Comment