Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Friday, August 23, 2013

Istiwa alal Arsh aur Aqeeda'e Ahlu Sunnah Wal Jamat


Istiwa alal Arsh aur Aqeeda'e Ahlu Sunnah Wal Jamat

Istiwa alal Arsh aur Aqeeda'e Ahlu Sunnah Wal Jamat

AsalatoWasalamoAlayika Ya Habib Allah

BismillahiRehmaniRahim

Article in Roman Urdu

Taa'ruf:

Ashariyah, aur Maturidiyah, Ahlu Sunnat keh woh do maktabefikar hain jinho ne falsafiyon ki bid'aton se darmyani sadiyon main Islam ke bunyadi aqeedon ko bacha'ye rakha, yani jese keh M'utizalah or Tashbehiyon (Yani insani characteristics, ju'ziyat , hadisat waghera ko Allah k liye aqeeda rakhne walay), Jinho ne Allah k liye tajsim ka aqeeda apna liya, uske lye hath,pair,chehrra waghera,rukh waghera jesi insani or makhlooqi sifat akhaz kar leen, aur yun ajtak wo log Islam se bahir hain.

Bunyadi Aqeeda!

Hum Ahlu Sunnat wal Jamat ka aqeedah jo keh sub se ziyada sahih or salaf saliheen k mutabiq hai wo yeh hai " keh hum kehty hain keh "Zaat e ilaahi" "(ie Very 'Being' of Allah) or Sifaat-e-ilaahi (i-e attributes of God), Allah ki Takhleeq (creations) ki tarha nahi".

Surah As'Shura {42} Verse 11: “The Creator of the heavens and the earth. He has made for you mates from yourselves, and for the cattle (also) mates. By this means He creates you (in the wombs). There is nothing like Him; and He is the All-Hearer, the All-Seer.”

Tarjuma:
Asmano or Zameen ka Banane wala, tumhare liye tumhi main se jory bana'ay aur nar wa maada chopaa'ay, is se tumhari nasal phelata hai US JESA KOI NAHI'.

Isi liye Jahan kahin bhi Quran main Allah ne kuch aisa farmaya hai , jis se insano wali sifat, ya wajood ka izhar hua hai wo "MUTASHABIHAT" Mutashabi'at {i.e. allegorical, indefinitive in meaning} kehlati hain. or in Ayaat ko hum apna aqeeda banane k liye NAHI istimal kar sakte.kionkeh Aqeeday humesha Ayat-e-Muhkamat {i.e. definitive in meaning} par hona chahiye jo keh:

* Surah Imran {3} Verse 7: “He it is Who has sent down to thee the Book: In it are verses Muhkamat; they are the foundation of the Book: others are Mutashabiyat. But those in whose hearts is perversity follow the part there of that is Tashabih {i.e. indefinitive}, seeking discord, and searching for its hidden meanings, but no one knows its hidden meanings except Allah. And those who are firmly grounded in knowledge say: "We believe in the Book; the whole of it is from our Lord:" and none will grasp the Message except men of understanding.”

Tarjuma: "
Allah par kuch chupa nahi zameen main naa hee aasmaan main, wahi hai keh tumhari tasveer banata hai, maaon k pait main jesi chahy".
Ayat 6 aur 7 main agay likha hai Tarjuma:
Uske siwa kisi ki ibadat nahi izaat wala azmat wala, Wahi hai jis ne tum par ye kitab utaari iski kuch ayaten saaf maana rakhti hain, WO KITAB KI ASAL HAIN, aur dosri woh hain jinke maana main ISHTIBAH hai, woh jinke dilon main KAJJEE hai, wo Ishtibah wali ke peeche party hain, Gumrahi chahne, aur uska pehlu dhondne ko, Aur uska Theek pehlu ALLAH he ko maloom hai"....

And only those with perverse heart, fallow the Tashabih to seek discord, as it is the case of Mujassim {i.e. Anthropomorphist} Wahabiyah and who wish to find its hidden means will dewelve into these verses {i.e. Mutazila}, and cause tribulation in Ummah.

SABOOT E QURANIA:

English Translations:

Surah Al A'raf {7} Verse 54: “Your Guardian-Lord is Allah, Who created the heavens and the earth in six days, and then on Arsh {i.e. throne} established Istawa {in a manner which befits Majestay Of Allah}: He draweth the night as a veil o'er the day, each seeking the other in rapid succession: He created the sun, the moon, and the stars, (all) governed by laws under His command. Is it not His to create and to govern? Blessed be Allah, the Cherisher and Sustainer of the worlds!”

Surah Yunus {10} Verse 3: “Verily your Lord is Allah, who created the heavens and the earth in six days, and then on Arsh {i.e. throne} established Istawa {in deserving majestay of Allah}: regulating and governing all things. No intercessor (can plead with Him) except after His leave (hath been obtained). This is Allah your Lord; Him therefore serve ye: will ye not receive admonition?”

Surah Ar'rad {13} Verse 2: “Allah is He Who raised the heavens without any pillars that ye can see, then on Arsh {i.e. throne} established Istawa {in a manner deserving of majestay of Allah}; He has subjected the sun and the moon (to his Law)! Each one runs (its course) for a term appointed. He doth regulate all affairs, explaining the signs in detail, that ye may believe with certainty in the meeting with your Lord.”

Surah Al Furqan {25} Verse 59: “He Who created the heavens and the earth and all that is between, in six days, and then on Arsh {i.e. throne}established Istawa {in a manner deserving of majestay of Allah}: Allah Most Gracious: ask thou, then, about Him of any acquainted (with such things).”

Surah As'Sajdah {32} Verse 4: “It is Allah Who has created the heavens and the earth, and all between them, in six Days, and then on Arsh {i.e. throne} established Istawa {in a manner deserving of majestay of Allah}: ye have none, besides Him, to protect or intercede (for you): will ye not then receive admonition?”

Surah Al Hadid {57} Verse 4: He it is Who created the heavens and the earth in Six Days, and then on Arsh {i.e. throne} established Istawa {in a manner deserving of majestay of Allah}. He knows what enters within the earth and what comes forth out of it, what comes down from heaven and what mounts up to it. And He is with you wheresoever ye may be. And Allah sees well all that ye do.

URDU TARAJIM:

1) Surah Al Araaf 7- ayat 54:
Beshak tumhara Rab Allah hai, Jisne asman or zameen 6 din main banaye, phir Arsh par istawa farmaya jesa keh uski shan k laiq hai".

Explaining: Ye Istawa "MUTASHABIHAAT" main se hai, hum is par iman laaty hain keh Allah ki is se jo muraad hai HAQ HAI, Hazrat Imam abu hanifa (radiallahutalaanho) ne farmaya keh Istawa maloom hai aur uski "kaiffiyat" majhoool, aur is par iman laana wajib hai, imam ahmed raza khan (alrehrehma) farmate hain. "iske maa'na yeh hain keh Afreenash ka Khatima Arsh par jaa thehra".

isi tarha se degar ayat jo ooper english main bayan ki gayi hain yaani Surah Yunus (10)(3), Surah ar'rad (13)(2), Surah al furqan (25) (59), Surah as-Sajda (32)(4), Surah al Hadid (57)(4) main bhi yaih baat bayan ki gayi hai ayat e Qurani main.

Aqeeda-e-Ahlu-Sunnat-Wal-Jamat: (Istiwa k mutaliq Sub se mehfooz aqeeda)
Allah ki Sifaat (istwaa) k mutaliq yeh hai keh JESI HAIN IMAN HAI Humara, Yani maan-o-ann man len, naa he iske tarajim karen (yani tashreeh karen) aur na he inko bina taweel k maanen. Yani mazeed asan alfaaz main is sari baat ka matlab yeh hua keh Ayaat e Qurani main jo likha hai jese farmaya gaya hai usko tasleem karte hain, hum naa he uski Taweelat karte hain, naa he uska tarjuma (yaani ye kehna keh Allah OOPER HAI) ye kehna isliey ghalat hai kionkeh aisa kehne se istiwa ko jehet (direction) milti hai or Direction milna bazat-e-khud haduud ki alamat hai yaani direction Mehdood cheez hai or sifat-e-makhlooq hai. Isliye humara ahlu sunnah wal jamat ka salaf saliheen ka muhadiseen ka yahi aqeeda hai or isi liye alahazarat ne bhi istiwa ka he lafz istimal farmaya hai. Jo keh sahih ul aqeeda tarjuma hai. Allah ki in ayat ko agar hum log taweel karne lag jain or iski tashreeh karne lag jainge jese keh firqa e wahabiya deobandiya waghera or mazi main "Moutizalah" karte aay hain to yaqeenan ye tajsim ka shirk hai or gunnah-e-kabeera main aata hai.
Lihaza Hum Ayat-e-Qurani ko mann-o-ann tasleem karte hain bina istiwa ka tarjuma kiye or bina uski tashreeh k , jese Allah ne farma diya wahi hum ne qabool kar liya. Istiwa, yani Allah ko hum log bina makhlooqati sifaat k jese istiwa farmaya uski shan k laiq wahi manty hain or apni taraf se taweelat nahi dete jesy keh iska hukam ooper di gayi ayat-e-qurani se bhi sabit ho chuka.


Aqeeda e Ahlu Sunnah Wal Jamat (Safe aqeeda)

Beshumar ahadith mojood hain jo zahir karti hain keh Hazoor alehisalatowatasleem ne farmaya keh unko kuch ata farmaya gaya jiski khasiyat "Jawami al Kalim" thi or phir agay isko explain kiya inke maani bataiye aik ya 2 jumlon main.
English

Aqeedah Of Ahle Sunnat: - Safe Aqeedah On Istiwa:

There are numerous Ahadith which state that RasoolAllah sallalahu alayhi was'salam stated that he has been given something which has quality of 'Jawami Al Kalim' and then explained it means, expressing of many meanings in one or two statements:

* Sahih Al Bukhari, Book 87, Number 141: ”Narrated Abu Huraira: "I heard Allah's Apostle saying, "I have been sent with Jawami al-Kalim, and I was made victorious with awe (caste into the hearts of the enemy), and while I was sleeping, the keys of the treasures of the earth were brought to me and were put in my hand." Muhammad said, Jawami'-al-Kalim means that Allah expresses in one or two statements or thereabouts the numerous matters that used to be written in the books revealed before (the coming of) the Prophet."

Therefore the meaning of attribute of Allah; Istiwah can have mutliple meanings, as well as remain Istiwa, and it can be believed in as it is {i.e. Arabic: Istiwa}, and believed with Taweel, and still it will be in accordance with principles of Tafsir. And those who made Taweel are reffered as: “…none will grasp the Message except men of understanding.” Therefore please bare in mind the above and read further.

- Believe in Taweel of Istiwa, meaning Allah made his creation subservient, subdued them, by His command, by His power, by His will, alsoHe is exalted, sublime, noble.

- Allah's Sifaat {attribute} of Istiwah believe as it is, not to be translated, and accepted without Taweel. In other words believe in Istiwa, without it having resembalance to creation's act, without Taweel { i.e. interpretation}, without translation {i.e Istiwa means above} which gives Istawa of Allah direction. But believe in Istiwa as Istiwa, and say: 'Allah's Istiwa is in a manner which befits Allah's Majestay.'

URDU:

Yani Hadith k mutabiq yahan par istiwa ke degar maani bhi bante hain or istwa phir bhi istwa he raha ilm al tafsir k usoolon or taweel k bawajood bhi. Lihaza sabit hua keh Aqeeda e ahlu sunat wal jamat he darust hai.

AHLU BIDAT KA AQEEDA E ISTAWA:
Aqeedah Of Ahle Biddat: - Heretical Aqeedah On Istiwa:

- Istiwa means 'Above' and 'Istiwa Alal Arsh' means 'rising above the throne' and the manner of 'rising above the throne' is unknown, and is without likeness to His creation.

Criticism:- Beleif in 'istiwa' meaning 'above' does give it meaning that Allah is like his creation in His: 'rising above the throne'. Istiwa is from Mutashabi'hat, hence definitive meaning is not known, translation is known, but translation is in contradiction with: "... Laysaka Misli shay ..." {i.e. "... nothing like Him ..."} therefore we do not translate it, and should not translate it.

URDU:

Khawarij or Moutizalah baydeen firqay ka aqeeda hai keh Istiwa ka matlab hai "OOPER" or "ISTIWA ALAL ARSH" ka matlab hain "Taj(THRONE)ke Oper BETHNA ya Mojood Hona". lekin kis tareeqe se tashreef rakhi hai wo naa-maloom hai, or wo makhloqat main se kisi ki tarha nahi".

Tanqeed: Ye aqeeda rakhna keh "istiwa" ka maani "ooper" hai direct Allah ko insani sifaat dena ke mutaradif hai kionkeh ye lafz "Mutashabihat" main se hai, or mutashabihat ki tashreeh to namaloom hai lekin tarjuma maloom hai, lekin ye tarjuma "LAYSAKA MISLI SHAY (yani .... US JESA KOI NAHI) wali ayat se tasadum karta hai, isliye HUM ISKA TARJUMA BHI KARNE K MAJAZ NAHI.

Allah apne habib alehisalam k sadqe main Ummah ko Khawarij ki baydeeni or nay nay fitnon se bacha kar Haqeeqi ahlu sunnat wal jamat jo keh salaf saliheen ka tareeqa tha us par chalne ki he tofeeq ata farmaye. Ameen bajahun Nabi alehisalam aamen.

1 comment:

  1. Thank you for helping people get the information they need. Great stuff as usual. Keep up the great work!!!l
    https://faizanquranacademy.com/quran-academy/
    learn quran online for kids

    ReplyDelete