Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Thursday, August 22, 2013

Hidaayat


BISMILLAAHIRRAHMAANIRRAHEEM
Nahmaduhu Wa Nusallee Wa Nusallimu A`laa Rasoolihil-Kareem.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Luqmaan Shareef Main Aayat Number 15 Main Irshaad Farmaataa Hai “Aour Oos Kee Raah Chal Jo Meree Taraf Rujooà Laayaa”Is Aayat-E- Mubaarak Main Saaf Tour Par Oon Logon Kee Ittibaa`(Taqleed) Kaa Hukm Diyaa Gayaa Hai Jo Buraayee(Nafsaaniyat Shaitanat) Chord Kar Allaah Tàalaa Kee Taraf Rujooa` Laate Hain,(Yàni Allah Tàalaa Kee Taraf Palat-Te Hain)
Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Faatiha Shareef Kee 5 Number Kee Aayat-E-Mubaarak Main Irshaad Farmaataa Hai “Hum Ko Seedhaa Raastah Chalaa” Aour Is Seedhe Raaste Kee Pahchaan Aglee 6 Number Aayat-E-Mubaarak Main Bataate Hooye Farmaayaa “Raastah Oon Kaa Jin Par Too A`zza Wa Jall Ne Ihsaan Kiyaa (Inàam Farmaayaa)”. To Agar Humain Seedhe Raaste Ko Pahchaannaa Hai To Hamain Yeh Jaannaa Hogaa Ki Woh Kounsee Jamaa`t Hai Jo Yahaan Rab Tabaarak Wa Tàalaa Kee Taraf Se Ihsaan Kee Gayee Hai.Inàam Paayee Hooyee Hai.Chunaanchah Rab Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Al-Nisaa Shareef Aayat Number 69 Main Irshaad Farmaataa Hai “Aour Jo Allaah Tàalaa Aour Oos Ke Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Hukm Maane To Oose Oon Kaa Saath Milegaa Jin Par Allaah Tàalaa Ne Fadhl (Inàam) Kiyaa Yàni Anbiyaa A`laihimusssalaato Wassalaam Aour Ssiddeeq Aour Shaheed Aour Nek Log,Yeh Kyaa Hee Achche Saathee Hain.”Aour Is Inàam Yaaftah Giroh Kee Aik Khaas Nishaanee Aaqaa Ssallallaaho A`laihi wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Bataayee Hai Ki Yeh Imaan Waalon Kaa Giroh Qayaamat Tak Har Dour Main Rahegaa. Chunaanchah Sunan Ibne Maajah Shareef Jild Awwal Main Hadhrat Aboo Horiarah Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Se Marvee Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaayaa Hai Hameshah Aik Jamaa`t Meree Ummat Main Datee Rahegee Allaah Tàalaa Ke Hukm Par,Oon Ko Nuqsaan Nahein Pahunchaa Sakegaa Jo Oon Kee Mukhaalifat Karegaa.Aour Rab Tabaarak Wa Taalaa Kee Apne Bandon Par Rahmat Dekhiye Ki Sooreh Faatihah Shareef Main Nekon Ke Zikr Farmaane Ke Bàd Buron Se Bachne Ke Leeye Buron Kaa Tafseelee Zikr Bhee Farmaa Diyaa.Chunaanchah Sooreh Faatihah Shareef Kee 7 Number Kee Aakhree Aayat-E-Kareemah Main Buron(Bad) Logon Kee Do(2) Qismon Kaa Zikr Farmaate Hooye Rab Tabaarak Wa Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “Nah Un Kaa (Raastah Chalaa) Jin Par Tujh A`zza Wa Zall Kaa Gàzab Huwaa Aour Nah Bahke Huwon(Gumraahon) Kaa.”
Is Aayat-E- Kareemah Main Allaah Tàalaa Ne buron Kee Do Qismon Ke Baare Main Bataayaa Hai Aik To Woh Jin Par Allaah Tàalaa Kaa Gàzab Hoowaa Hai Aour Doosre Woh Jo Gumraah Hooye Log Hain.Yeh Donon Jahannamee Giroh Hain Lekin Donon Main Aik Khaas Farq Hai.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Pehle Gàzab Waalon Kaa Zikr Farmaayaa Hai Is Liye Pehle “Gàzab Waalon” Ke Baare Main Jaannaa Chaahiye.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ke Gàzab Main Pade Hooye Log Woh Hain Jo “Sachche Aour Seedhe Raaste Kaa I`lm Rakhte Hain Aour Yeh Bhee Jaante Hain Ki Hum Gàlt Raaste Par Hain Phir Bhee Apnee “Nafsaaniyat” Kee Wajah Se Apne Kufr Wagairah Par Zabardastee Se Jame Hooye Hain(Maàazallaah Tàalaa)”.
Aour Buron Kee Dosree Qism Yàni Gumraahon Se Muraad “Woh Log Hain Jo Apnee Gumraahee Yàni Kufriyaat Wagàirah Main Pade To Hain Lekin Oonhein Is Baat Kaa Aàm Tour Par I`lm Nahein Kee Hidaayat Waalaa Seedhaa Raastah Koun Saa Hai.”
(Lekin Is Baat Ko Hargiz Nah Bhoolein Ki Gàzab Waalon Main Bhee Apnee Buraayee Ke Hisaab Se Alag Alag Level Hain Aour Gumraahon Main Bhee Apne Buraayee Ke Hisaab Se Level Hain.)
Agar Koi Yeh Kahe Ki Tirmizee Shareef kee Hadees Shareef Ke Mutaabiq “Gàzab Waalon” Se Yahoodee Aour Gumraahon Se Nisaaraa Yàni I`saayee Muraad Hain, To Oos Kaa Jawaab Yeh Hai Ki Isee Baat Se To Is Kee Tafseel Mil Rahee Hai Kee Gàzab Waale Jaankaar Aour Gumraah Anjaan Hain.Yahoodee Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kee “Haqqaaniyat” Ko Zyaadah Jaante The Aour Madeenah Shareef Main Rah Kar Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Dosron Ke Muqaable Main Zyaadah Pehchaan Rakhte The, Is Liye Oon Par Gàzab Waalaa Hone Kaa Hukm Zyaadah Lagaayaa Gayaa.Chunaanchah Sooreh Baqrah Shareef Main Aayat Number 89 Main In Yahoodiyon Ke Baare Main Allaah Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “To Jab Tashreef Laayaa Oon Ke Paas Woh Jaanaa Pehchaanaa Oos Ke Munkir Ho Baithe, To Allaah Tàalaa Kee Lànat Munkiron Par” To Yeh Jaan Boojhkar Sarkaar Ssallallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Pehchaan Kar Aap Ssallallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Munkir Ho Jaanaa Yeh Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Ke Gàzab Main Padnaa Hai.
Aour Sooreh Baqrah Shareef Main Aayat Number 146 Main Allaah Tàalaa Ne Yahood Wa Nasaaraa(Isaaee) Donon Ke Aulmaa ke Baare Main Bataayaa Hai Ki “Jinhein Ham Ne Kitaab A`taa Farmaayee Woh Is Nabee Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Aisaa Pehchaante Hain Jaise Aadmee Apne Beton Ko Pehchaantaa Hai Aour Beshak Oon Main Aik Giroh Jaan Boojhkar Haq Chupaate Hain ”.To Yeh Jaan Boojh Kar Haq Chupaanaa ,Haq Kaa Jaan Boojhkar Inkaar Karnaa Yaa Jaan Boojh Kar Gumraahee Par Zabardastee Jamey Rehnaa Allaah Tàalaa Ke Gàzab Main Padnaa Hai.
Aour Sooreh Aàraaf Main Aayat Number 157 Main Saaf Tour Par Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Bataayaa Hai “Likhaa Huwaa Paayenge Apne Paas Touret Aour Injeel Main”
To Koi Bhee Kaafir Jo Yahood Wa Nasaaraa Ke Aulmaa Kee Tarah Jaan Boojh Kar Kufr Par Asraar Kare Woh “Gàzab Waalon”Main Hai.Chunaanchah Allaah Tàalaa Sooreh An-naml Shareef Main Aayat Number 14 Main Irshaad Farmaataa Hai “Aour Oon Ke Munkir Hooye Aour Oon Ke Dilon Main Oon Kaa Yaqeen Thaa”.
To In Aayaat-E-Mubaarikah Ke Mutaabiq Is Baat Kaa Hameshah A`qeedah Rakhnaa Chaahiye Ki Is Duniyaa Main Aam Tour Par Aise Kaafir Har Waqt Rahe Hain Jo Jaan Boojhkar Kufr Ko Kufr Samajh Kar Bhee Shaitaan Mardood Kee Tarah Kufr Par asraar Karte Rahe Hain.
Aour Gumraah Kaafir Woh Hain Jo Sachchaayee Aour Jhoot Main Farq Nahein Kar Paate Oon Ke Baare Main Allaah Tàalaa Sooreh Al-Anaàm Shareef Main Aayat Number148 Main Irshaad Farmaataa Hai “Tum(Yànee Gumraah) To Nire(Bilkul) Gumaan (Khaam Khyaal) Ke Peeche Ho”.Aour Allaah Tàalaa Sooreh Al-Anaàm Shareef Main Aayat Number116 Main Irshaad Farmaataa Hai “Woh Sirf Gumaan Ke Peeche Hain Aour Niree Atkalein (Fuzool Andaaze) Doudaate Hain”.
Yàni Gumraah Kaafir Log Bagàir Daleel Ke Apne Gumraah A`qeede Ke Leeye Sirf Jhoote Andaaze Lagaate Rehte Hain.
Duniyaa Main Jitne Bhee Kaafir Giroh Hain Sab Inheen Do Qismon Main Bate Hain.Islaam Main Jo Bad-Mazhab Firqe Hooye Hain Oos Main Bhee Gàzab Waale Aour Gumraah Donon Tarah Ke Log Hain.Yahaan Tak Ki Sab Se Khatarnaak Wahaabee (Phir Woh Chaahe Devbandee Hon Yaa Phir Ahle-Hadees) Bad-Mazhab Giroh Main Bhee Gumraah Aour Gàzabwaale Donon Tarah Ke Log Hain.Is Kee Do Roshan Daleelein Aage Dekhiye.
1)Hamaare Aaqaa Wa Moulaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Islaam Main Nikalne waale Jhoote Bad-Mazhab Girohon Ke Baare Main Khabardaar Farmaate Hooye Sachche Giroh Kee Khaas Nishaanee Yeh Bataayee Hai Ki Sachchaa “Imaan” Waalaa Giroh Har Dour Main Hameshah Qayaamat Tak Rahegaa.Chunaanchah Tirmidhee Shareef Main “Fitnon Kaa Bayaan” Main Yeh Hadees-E-Motwaatir Hai.
Hadhrat Thawbaan Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Ki Mujhe Apnee Ummat Par Gumraah Karne Waale Hukmaraanon Kaa Dar Hai, Hadhrat Thawbaan Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Yeh Bhee Farmaate Hain Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Bhee Irshaad Farmaayaa Ki Meree Ummat Main Se Aik Jamaa`t Hameshah Haq Par Rahegee Aour Woh Hameshah Apne Dushmanon Par Gaalib Honge Unhen Kisee Kee Iaàanat(Madad) Tarak Kar Dene Se Koi Nuqsaan Naheen Pahoonchegaa Yahaan Tak Qayaamat Aa Jaayegee.Hazrat Imaam Tirmizee Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Farmaate Hain Yeh Hadees Shareef Saheeh Hai.
Ab Yeh Baat Saaf Zaahir Hai Ki Wahaabee Aulmaa Ko Is Hadees-E-Motwaatir Ke Mutaabiq Is Baat Kaa Saaf I`lm Hai Kee Ahl-E-Sunnat Wal Jamaàt Kaa Hi Giroh Choudah Sow Saal Se Har Dour Main Rahaa Hai,Jo Ki Har Dour Main Karaamaat Maantaa Rahaa Hai Aour Peeree Mureedee Par Pakkaa Yaqeen Rakhtaa Rahaa Hai Aour Allaah Waalon Ridhwaanullaahi A`laihim Ajmaèen Ke Mazaaraat Banaataa Rahaa Hai. Aour Is Giroh Main Aouliyaa Allaah Ridhwaanullaahi A`laihim Ajmaèen Har Dour Main Hote Rahe Hain Jo Kee aàm Tour Par Hanfi Shaafaèe Hànblee Maalkee Maslak Ke Rahe Hain.Ab Yeh Wahaabee Aalim To Achche Se Jaante Hain Ki Ham To In Choudah Sou Saal Se Chale Aa Rahe Allaah Waalon Ke Tareeqe Ke Mukhaalif Hain Aour Laakhon Allaah Waalon Kee Pairvee Tarak Kar Ke Ibne Taimiyah(Jo Kee 661 Hijree Main Paidaa Hoowaa), Mohammad Ibne A`bdulwahhaab Najdee(Jo Kee 1115 Hijree Main Paidaa Hoowaa) Aour Ismaaèel Dehlvee (Jo Kee 1193 Hijree Main Paidaa Hoowaa) Wagàirah Kee Kufriyah Tàleemaat Kee Pairvee Karte Hain Jo Kee Jaan Boojh Kar Seedhe Raaste Ko Tarak Karnaa Hai Aour Gàzab Waalon Main Honaa Hai.
2)Doosree Daleel Gàzab Waalon Main Se Hone Kee Yeh Hai Ki Bahut Se Wahaabee Yeh Kahte Hain Ki Kaafir Ko Kaafir Nah Kaho Agar Kaafir Kal Ko Musalmaan Ho Gayaa To? Jab Ki Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Quraan Paak Main Sooreh Kaafiroon Ke Shuroo`Main Apne Hàbeeb Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Zareeye Se Ummat-E-Mohammadiyah Ko Hukm Farmaa Rahaa Hai “Qul Yaa Aiyyuhal Kaafiroon” Yàni “Tum Kaho Aie Kaafiro” Ab Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Kaa Hukm Hai Ki Kaafir Ko Kaafir Kaho Aour Yeh Kahte Hain Kaafir Ko Kaafir Nah Kaho Agar Kaafir Kal Ko Musalmaan Ho Gayaa To?Quraan Paak Ke Kisee Aik Hurf Kaa Bhee Jaan Boojh Kar Inkaar Kufr Hai.Yahaan Lafz “Qul” Yàni “Tum Kaho”Kaa Inkaar Hai.Jo Kee Khulaa Hoowaa Kufr Hai.To Saaf Zaahir Hai Ki “Kaafir Ko Kaafir Nah Kaho Aisaa Bolnaa Kufr Hai”.
(Dar-Haqeeqat Baat Yeh Hai Ki Wahaabee Aoulmaa Ko Is Baat Kaa Achchee Tarah Se I`lm Hai Ki Hum Bahut See Quraan Paak Kee Aayaat Aour Ahaadees-E-Shareefah Aour Choudah Sou Saal Se Chale Aa Rahe Ijmaa`-E-Ahlesunnat Ke Khilaaf Hain Jo Ki Khulaa Huwaa Kufr Hai, Isee Leeye Wahaabee Aoulmaa Ne Yeh Kufriyaa Baat Aàm Kee Hai Ki Kaafir Ko Kaafir Mat Kaho,Taakee Koi In Wahaabee Aoulmaa Ko Kaafir Nah Kah Sake.Is Leeye Yeh Zarooree Hai Ki Is Quraan Paak Mukhaalif Farebee Aour Jhootee Baat Se Khood Bhee Bachein Aour Doosre Ko Bhee Bachaayen). To Jaan Boojh Kar In Wahaabee Aoulmaa Kaa Kufr Par Asraar Karnaa Allaah Tàalaa Ke Gàzab Main Padne Waalon Main Se Honaa Hai.Aour Aàm Wahaabee Jo In Baaton Ko Zyaadah Naheen Jaantee Woh Gumraahon Ke Hukm Main Aate Hai.
Assl Main Yeh Saaree Baatein Hidaayat Ke Moudhoo`Kee Hain.Aour Kufr Se Bachnaa Yeh Sab Se Badee Aour Pehlee Hidaayat Hai.Yeh Baat Jaannaa Aoyr Samajhnaa Ki Kis Wajah Se Bande Ki Hidaayat Nahein Miltee Aour Kis Wajah Se Bande Ke Dil Par Gàdhab-E-Ilaahee A`zza Wa Jall Gumraahee Kee Muhar Lag Jaatee Hai Yeh Jaannaa Aour Samajhnaa Kaafee Zarooree Hai, Chunaanchah
Jitne Bhee Log Raah-Haq Se Bhatak Kar Jo Jahannam Kee Raah Par Chal Padte Hain Oos Kee Sab Se Badee Wajah Yeh Hai Kee Bhatke Hooye Logon Main Zyaadah Tar Log Kufr Ke Baare Main Zyaadah Jaante Hee Nahein Aour Nah Jaanne Kee Koshish Karte Hain.Aage Kee Ssaheeh Bukhaaree Shareef Kee Hadees Shareef Ke Mutaabiq Kufr Se Bachne Kee Fikr Sirf Woh Kartaa Hai Jo Kufr Main Waapas Jaane Ko Aisaa Buraa Samjhtaa Hai. Jaise Aag Main Daale Jaane Ko.To Jeese Jahannam Kee Aag Main Jaane Se Bachne Kee Fikr Hotee Hai Woh Kufr Se Bachne Kee Fikr Rakhtaa Hai.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Baqrah Shareef Main Irshaad Farmaataa Hai. “Hudallil-Muttaqeen”Yànee Hidaayat Darne Waalon Ke Leeye Hai.
Ssaheeh Bukhaaree Shareef Main “Imaan Kaa Bayaan”Main Hazrat-E-Anas Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Se Rivaayat Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Yeh Teen Baatein Jis Kisee Main Hongeen Woh “Imaan”Kaa Mazah (Mithaas) Paayegaa,Allaah Tàalaa Aour Oos A`zza Wa Jall Kaa Rasool Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Tamaam Dosre Logon Se Zyaadah Oosey Mehboob Hon,Aour Jis Kisee Se Mohabbat Kare To Sirf Allaah Tàalaa Hee Ke Leeye Kare Aour Kufr Main Waapas Jaane Ko Aisaa Buraa Samjhe Jaise Aag Main Daale Jaane Ko.
Is Hadees Shareef Main Teen Baatein Hain Jin Main Pehlee Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mohabbat Kee Baat Hai Jo “Assl Imaan” Hai,Aour Aage Ki Donon Baatein Is “Imaan” Kee Daleel Hain.To Agar Dil Main “Imaan Yàni Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos Ke Habeeb Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mohabbat” Hai To Insaan Hargiz Kaafiron Se Dostee Nahein Rakh Saktaa Yahaan Tak Ki Jo Kuch Bhee Allaah Tàalaa Se Door Kar De Jaise Duniyaa Wagìrah Oos Se Bhee Muhabbat Nahein Rakh Saktaa..Aour Teesree Baat Pehlee Donon Baaton Kee Sachchaayee Kee Daleel Hai Ki Agar “Imaan” Ki Fikr Hai To Insaan Kufr Se Bachne Kee Jaan Tod Koshish Kartaa Hai.Yàni
Is Hadees Shareef Ke Mutaabiq“Imaan”Aour Kufr Ke Baare Main Bahas Sirf Oon Logon Ke Leeye Ahmiyat Rakhtee Hai Jo Apne Andar Imaan Se Mohabbat Aour Kufr Se Nafrat Rakhte Hain.Aour Apne Aap Se Badh Kar Sab Ke Paidaa Karne Waale Rab A`zza Wa Jall Kee Qadr(Izzat Muhabbat) Sab Se Zyaadah Karte Hain.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Arràd Shareef Main Aayat Number 27 Main Irshaad Farmaataa Hai “Tum Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaa-o Be Shak Allaah Tàalaa Jise Chaahe Gumraah Kartaa Hai Aour Apnee Raah Oose Detaa Hai Jo Oos A`zza Wa Jall Kee Taraf Rujooà Laaye(Yànee Rab Tàalaa Kee Taraf Palte)
Is Bukhaaree Shareef Kee Hadees Shareef Kee Pehlee Baat Ke Mutaabiq Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mohabbat “Assl Imaan”Hai.Lekin Jo Apne Dil Par Apne Nafs Ko Gàalib Kar Detaa Hai Aour Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mohabbat Kee Jagah dunyaa Se Zyaadah Mohabbat Kartaa Hai Allaah Tàalaa Oos Ke Dil Par “Mohar”Lagaa Detaa Hai Phir Aise Insaan Ko Hidaayat Nahein Miltee.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Quraan Paak Main Sooreh Annahl Aayat Number 107,108 Main Irshaad Farmaataa Hai. “Yeh Is Leeye Ki Oonhon Ne Dunya Kee Zindagee Aakhirat Se Pyaaree Jaanee Aour Is Leeye Kee Allaah Tàalaa (Aise) Kaafiron Ko Raah Nahein Detaa, Yeh Hain Woh Jin Ke Dil Aour Kaan Aour Aankhon Par Allaah Tàalaa Ne Muhar Kar Dee Hai Aour Woh Hee Gàflat Main Pade Hain.”Aour Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Zyaadah Doosree Kisee Bhee Cheez Se Muhabbat Karnaa Yaa Doosree Cheezon Ko Chaahnaa Yeh Khatarnaak Kufr Hai.Is Ke Sabab Se Rab Tabaarak Wa Tàalaa Kee Taraf Se Hidaayat Kaa Raastah Band Ho Jaataa Hai.Chunaanchah Sooreh Annisaa Shareef Kee Aayat Number 155 Main Allaah Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “Bulki Allaah Tàalaa Ne Oon Ke Kufr Ke Sabab Oon Ke Dilon Par Muhar Lagaa Dee Hai”.Kufr Ke Baare Main Rab A`zza Wa Jall Ne Aik Khaas Baat Quraan Paak Main Bataayee Hai Jo Kee Har Kufr Kee Assal Hai.Chunaanchah Rab Tabaarak Wa Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “Wa Maa Qadarullaaha Haqqa Qadrihi”Yàni “Aour Kaafiron Ne Allaah Tàalaa Kee Qadra Na Kee(I`zzat Nah Kee) Jaise Ki Karnee Chaahiye Thee”.To Is Aayat-E-Mubaarikah Ke Mutaabiq Kufr Kaisaa Bhee Ho Oos Kufr Main Allaah Tàalaa Kee Naa Qadree Zaroor Hotee Hai.Aour Woh Naa Qadree Buniyaadee Tour Par Yehee Hotee Hai Ki Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Zyaadah Doosree Kisee Bhee Cheez Se Muhabbat Kee Jaaye Yaa Doosree Cheezon Ko Chaahaa Jaaye.Is Dunyaa Main Bandon Ke Imaan Kee Jo Aazmaayish Hotee Hai Woh Sab Se Badee Yehee Aazmaayish Hai Ki Kis Bande Ke Dil Main Sab Se Zyaadah Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qadr Aour Izzat Aour Mohabbat Hai.Jo Koyee Is Imtihaan Main Paas Ho Jaataa Hai Yàni Sab Se Zyaadah Allaah A`zza Wa Jall Aour Oos A`zza Wa Jall Ke Mehboob Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qadr Kartaa Hai Woh “Imaan” Par Dunyaa Se Gayaa Aour Jo Is Imtihaan Main Naapaas Ho Gayaa Woh Kufr Par Martaa Hai.Isee Kufr Ke Sabab Se Allaah Tàalaa Dil Par Muhar Lagaa Kar Hidaayat Ke Raaste Band Kar Detaa Hai.Chunaanchah Sooreh Annisaa Shareef Kee Aayat Number 155 Main Allaah Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “Bulki Allaah Tàalaa Ne Oon Ke Kufr Ke Sabab Oon Ke Dilon Par Muhar Lagaa Dee Hai”.Aour Jab Dil Par Muhar Lag Jaatee Hai To Aadmee Nah “Hidaayat” Kee Baat Sun Paataa Hai Nah Samajh Paataa Hai.Rab Tabaarak Wa Tàalaa Ne Ham Logon Ko Daraate Hooye Sooreh Baqrah Shareef Kee Aayat Number 7 Main Irshaad Farmaayaa Hai “Allaah Tàalaa Ne Oon Ke Dilon Aour Kaanon Par Mohar Kar Dee Aour Oon Kee Aankhon Par Ghataatop(Ghanaa Baadal) Hai”.Aour Bhee Aage Sooreh Baqrah Shareef Kee Aayat Number 18 Main Irshaad Farmaayaa Hai “Behre Goonge Andhe To Woh Phir Aane Waale Nahein”.Aou Sooreh Al-mutaffifeen Main Aayat Number 14 Main Allaah Tàalaa Irshaad Farmaataa Hai “Koyee Nahein Bulki Oon Ke Dilon Par Zang Chadhaa Diyaa Hai Oon Kee Kamaayee-yon (Yàni Oon Ke Aàmaal) Ne”.To Rab Tabaarak Wa Tàalaa Aour Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Se Badh Kar Duniyaa Kee Kisee Bhee Cheez Se Muhabbat Aik Aisaa A`mal Hai Jis Kee Wajah Se Aadmee Ke Dil Par Muhar Lag Jaatee Hai Aour Woh Be-A`ql Ho Jaataa Hai.Chunaanchah Rab Tabaarak Wa Tàalaa Sooreh Yoonus A`laihisssalaato Wassalaam Kee Aayat Number 100 Main Irshaad Farmaataa Hai “Aour Kisee Jaan Kee Qudrat Nahein Ki Imaan Le Aaye Magar Allaah Tàalaa Ke Hukm Se Aour A`zaab Oon Par Daaltaa Hai Jinhein A`ql Nahein”.
Aour Aaj Kal Kaa Yeh Aik Zaatee Tajarbah Hai Ki Bahut Se Logon Ko Allaah Tàalaa Ke Gàzab Main Pade Hooye In Bad-Mazhabon Wahaabiyon Ne Yeh Sikhaa Diyaa Hai Ki Zyaadah Kufr Ke Bahas Main Nah Pado, Kisee Bhee Kalmah Padhne Waale Ko Kaafir Nah Kaho.(Jab Kee Ooper Kee Aayaat-E-Mubaarikah Main Allaah Tàalaa Ne Kufr Par Bahas Farmaayee Hai Aour Kufr Par Marne Kaa Sabab Khol Kar Bayaan Farmaayaa Hai).Wahaabiyon Kee Baat Maanne Kaa Nateejah Yeh Hotaa Hai Ki Aadmee Kufr Aour “Imaan” Ke Farq Ko Bhool Kar Aasaanee Se Kaafir Ho Jaataa Hai.
Allaah Tàalaa Sooreh Baqrah Shareef Ki Aayat Number 8 Main Irshaad Farmaataa Hai“Aor Kuch Log Kehte Hain Ki Hum Allaah Tàalaa Aour Pichle Din(Qayaamat) Par Imaan Laaye Aour Woh Imaan Waale Naheen”.
Ab Jab Ki Kufr Kee Baat Ho Rahee Hai To Sab Se Pahle Kufr Kee Tàreef Yàni (Definition) Ke Baare Main Jaannaa Zarooree Hai.Chunaanchah “Kisee Aik Bhee Zaroorat-E-Deen Kaa Inkaar Karnaa Kufr Hai ”.Ab Zaroorat-E-Deen Kise Kehte Hain? To Hamaare Aaqaa Wa Moulaa Sakaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Jo Kuch Bhee Allaah Tàalaa Ke Paas Se Laaye Hain Oon Main Kee Har Aik Baat Ko Maannaa Deen Kee Zaroorat Hai.Yàni Kul Milaa Kar Yeh Kaho Ki Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Kisee Aik Baat Kaa Bhee Inkaar Karnaa Kufr Hai.
Ab Yeh Aulmaa Aour Jaankaaron Ki Zimmedaaree Hai Kee Aam Logon Ko Yeh Bataayen Ki Sirf Kalmah Padh Lene Se Yaa Sirf Imaan Laane Kaa Iqraar Kar Lene Se Insaan Imaan Waalaa Nahein Ho Jaataa Jab Tak Ki Har Tarah Ke Kufr Se Bachaa Nah Rahe.Yàni Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Kisee Aik Baat Kaa Bhee Inkaar Nah Kare.
Chunaanchah
Ssaheeh Bukhaaree Shareef Main “Fadhaael Quraan Paak” Ke Bayaan Main Yeh Hadees-E-Motwaatir Hai.
Hadhrat A`lee Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Riwaayat Karte Hain Ki Main Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Ne Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmaate Hooye Soona Hai Ki Aakhir Zamaane Main Nav Umar Log(Kam Umar Log) Halkee A`qlon Ke Paidaa Honge,Jo Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Qaul(Hadees Shareef) Bayaan Karenge Aour Woh Deen Se Aise Nikle Hooye Honge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaataa Hai,Un Kaa Imaan Un Ke Galon Se Niche Nah Utregaa,Jahaan Woh Tumhein Milein, Unhein Maar Daalo, Kyon Ki Maarne Waalon Ko Un Ke Maarne Kaa Qayaamat Ke Din Sawaab Milegaa.
Aour Ssaheeh Muslim Shareef Main “Zakaat Kaa Bayaan” Aour Sunan Ibn-E-maajah Shareef Main “Sunnat Kee Pairvee Kaa Bayaan” Main Hazrat Abuzar Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Se Marvee Hai Ki Janaab Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Mere Bàd Meree Ummat Main Se Kuch Log Honge Jo Log Quraan Paak Ko Padhenge Magar (Quraan Paak) Oon Ke Hàlq Se Tajaawuz Nahein Karegaa (Yàni Quraan Paak Halq Se Niche Dil Main Nahein Ootregaa)`Deen Se Isee Tarah Be-Faiz Rah Jaayenge Jis Tarah Teer Shikaar Se Be Nishaan Guzar Jaataa Hai.Phir Woh Deen Main Lout Kar Nahein Aayenge Woh Makhlooq Main Se Bad-Tareen Honge.
In Ssaheeh Ahaadees Se Saaf Tour Par Màloom Hoowaa Kee Sachche Kalmah Shareef Aour Quraan Paak Padhne waalon Main Aise Jhoote Log Bhee Kalmah Shareef Aour Quraan Paak Padhne Waale Hain Jo Deen Se Teer Kee Tarah Nikle Hooye Aour Deen Se Hee Be-Faiz Hain.

No comments:

Post a Comment