Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Monday, July 29, 2013

اِہۡدِ نَا الصِّرٰطَ الۡمُسۡتَقِیۡمَۙ


اِہۡدِ نَا الصِّرٰطَ الۡمُسۡتَقِیۡمَۙ

Assalam.0.alaikum,Surah Fatiha::::::

اِہۡدِ نَا الصِّرٰطَ الۡمُسۡتَقِیۡمَۙ ka mana "tu hame sidha raste per chala"

اِہۡدِ ka mana "tu chala" (اِہۡدِ k do mana hai: "to dikha", "tu chala". jb aik momin quran k raste ko dekh chuka to ab wo jb yeh dua ko padhega to us ka mana hai ki:Perwardigaar is sirate mustaqeem ko ham dekh to chuke ab hame is per chalne aur sabiq qadami ki bhi tofeeq ata farma.

"اِہۡدِ " ka man "chala", "نَا" ka mana "hame", "الصِّرٰطَ" ka mana "rasta", "الۡمُسۡتَقِیۡمَۙ" ka man "sidha"tu hame sidha raste per chalaai Allah tu hame sidhe raste pe chala

ab sidhe raste ka tayun quraane majeed furqane hameed ne khud kiya. yeh bhi kaha ja sakta tha ki sidhar rasta wo rasta hai jo quraan ka rasta hai, sidha rasta wo rasta hai jo hadis ka rasta hai lakin quraane majeed furqane hameed per qurbaan jaye quraan ka yeh mojja hai ki qayamat tak aane wali tamam bato koquraan me zikr kar diya. Allah rabul aalameen janta hai k kaise log paida honge jo quraan k naam lenge, hadis ka naam lenge lakin wo quraan wa hadis ko samjhe nai honge. qadyani hai wo bhi yeh kahte hai ki ham quraan ko mante hai, quraan ka naam lete hai. hadis ka inkaar karne wale hai ki wo bhi apne aap ko ahle quraan khatehai. aur kahte hai ki ham to quraan ko manne wale hai.

Quraane majeed furqane hameed ne sidhe raste ka tayun kar diya farmaya:صِرٰطَ الَّذِیۡنَ۬(sidha rasta un logo ka rasta), اَنۡعَمۡتَ (eenaam kiya ai perwardigaar tu ne), عَلَیۡہِمۡ (jin per)

yani jin Allah k naik bando per inaam kiya gaya un naik logo k raste per chalne ki ai perwardigaar hame tofeeq ata farma. ab naik bande quran wa hadis ko sahi samjhehai, wo naik bande quran wa hadis ko samajhne me qamyaab huye hai. wo naik bande kon hai?wo sahaba hai, saleheen hai, wo sohda hai, wo ambiya hai.

surah nisa, aayet no: 69 me inaam yafta logo ki tafseel biyan ki gayi. aur sb se powerful tafseel yahi hai ki quraan ki tafseel quraan biyaan kare.

jo Allah aur Rasool ki ataat kare (وَمَنۡ یُّطِعِ اللہَ وَالرَّسُوۡلَ)

yeh wo log hai k un logo k saath jannat me honge jin per Allah ne inaam farmaya(فَاُولٰٓئِکَ مَعَ الَّذِیۡنَ اَنْعَمَ اللہُ عَلَیۡہِمۡ ). wo kon log hai?

inaam yafta log ambiya (مِّنَ النَّبِیّٖنَ ) hai, aur siddeqeen (وَالصِّدِّیۡقِیۡنَ) hai , aur sohda (وَالشُّہَدَآءِ) hai, aur naik saleh log (وَالصّٰلِحِیۡنَ) hai.

ab aap dekhye nabi e kareem sallallaho alaihe wale wasalam k sahaba ka amal dekhe:albidaya wal nihaya,jild-6, Safa-24, ibn kaseer yeh baat likhte hai. jin ka sane intaqaal 774 hijri hai. aaj se taqreeban 700 saal qabal aapne yeh kitab likhi

"AL KAMIL FIL TAREEKH" jild-2, safa no-246 ibn aseer likhte hai: jin ka sane wisaal 630 hijri hai, "AL KAMIL FIL TAREEKH" aapne takreeban 800 saal qabal likhi thi.yeh dono kitabe is waqt pure aalame islam me bahut mashhur aur maroof hai us pe likhte hai muselma kajjaab se sahaba ne jb zehad kiya aur muselma kajjaab k saath60000 k lishkar tha, musalmano ki tadad bahut kam thi, aur aik waqt wo aaya k mehsus hota tha k ab sikast kha jayenge us moqa pe hazrat khalid bin waleedsephesaalaar hai, siddique akbar k dore khilafat hai, hazur k wisaal ka baad ka waqiya hai, aur madine se sikdo meel door pe hai, fasle per hai, is jang ka naam hai"JANG.E.YAMAMA", jab mushkil aayi, shaba ikram job sikasht mehsus hone lagi, ibn kaseer yeh baat likhte hai aur alam ibn aseer bhai yeh baat likhte hai. us waqtsahaba ikram ne rasoolAllah sallallho alaihe wale wasalam ko madad k liye pukara aur in ki sikast fatah me dabdeel ho gayi.

jin logo per ai perwardigaar tu ne inaam kiya (صِرٰطَ الَّذِیۡنَ اَنۡعَمۡتَ عَلَیۡہِمۡ۬ۙ۬) un k raste pe chalne ki tofeeq ata farma. to sahaba ikran ka agar amal dekhana chahe, huzur se inhe kya muhabbat thi, wo huzur ki kaise tazeem karte the, to aap yeh kitab ka naam note kar le "ZIKRE JAMEEL".hazrat alama mulana shafi ocadvi rahmatullah taala anhu ki kitab "ZIKR-E-JAMEEL", sahaba ikram ki muhabbat ka bhi zikr hai, aur huzur k mojjah ka bhi zikr hai, huzur ki shaan bhi hai, huzur ki taqat jo Allah ne aap ko ata ki us ka bhi zikr hai.

aur mukhtasar padhna chahe to "MUYE MUBARAK SHARIF KI BARKATE" is unwan se aap kitab hasil kar lijye, mufti ghulam ghaj baghdadi daman barkatiya anhu auliya ki likhi huyi kitab hai. is me sahaba ikram ko tabarukaat se jo iqidat thi aur khususan huzur sallallaho alaihe wale wasalam k muye mubarak se us aqidat ka biyaan hai.Allah taala hame bhi sahaba ikram k naqse qadam pe chalte huye huzur aqdas sallallaho alaihe wale wasalam ki tazeem aur toqeer karne ki tofeeq ata farmaye.

غَیۡرِ الۡمَغۡضُوۡبِ عَلَیۡہِمْ وَلَا الضَّآلِّیۡنَ"غَیۡرِ" ka man "na", "الۡمَغۡضُوۡبِ" ka mana "ghajab kiya gaya", "عَلَیۡہِمْ" ka mana "jin per", "وَ" ka mana "aur", "لَا" ka mana "na", "الضَّآلِّیۡنَ" ka mana "gumrah".

ab is aayet ka mafhum yeh hai: ai perwerdigaar tu hame on logo k raste pe chala jin per tune apna fazal farmaya aur un logo k raste pe chalne se mehfooz farma, jinperghajab kiya gaya aur jo gurah huye un k raste se perwerdegaar ham sab ko mehfooz farma. aameen

is k akhir me ham kahte hai aameen, ameen ka mana hai ilahi qabool farma, ilahi aisa hi kar. hadise paak me hai jb banda aameen kahta hai to aameen ki barkato seAllah taala us afiyat aur balyaat ko door farma deta hai.

No comments:

Post a Comment