Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Monday, July 29, 2013

Saudi Imam (Wahabi) Key Peeche Namaz


Saudi Imam (Wahabi) Key Peeche Namaz

  • 1. Bad Aqida Imam Ke Peechey Namaz Durust Nahi, Imaamat Darasal Hamari Namaz Ko ImamKo Sonpna Hai. To Jis Tarah Rail Gaadi Ka Engine Kharab Ho to Dabbey Bhi Nahi Chal Saktey. Isi Tarah Agar Imam Ki Namaz Durust Na Ho, To Muqtadi Ki Namaz Bhi Durust Nahi Hosakti!

    2. Imam Hamesha Khush Aqide Ka Banaya Jaye Ga Ke Ye ALLAH Ki Bargaah Me Hamara Waseela Hai. Maslan: Agar Hum Ne Koi Jurm Kya Aur Sifarish Ki Garz Se Kisi Aisey Shaks Ko Baadshah Ke Darbar Me Pesh karen, Jo Pehle se Hi Baadshah Ki Bargaah Ka Mujrim Tha To Hamari Sazaa Me Kami Hone Ke Bajaye Yaqinan Mazid Izafa Hoga!
    3. Bad Aqida Ke Imam Peeche Namaz Goya Uski Bad Aqidgi Par Raazi Rehna Hai. Agar Usey Durust Samaj Liya To IMAAN KA MAS'ALA Chahey Kithnee bhi Muqadas Jaga Par Hi Kyon Na Ho!
    4. Wahabi Aqaid Har Sunni Musalman Par Wazeh Hen, Zaruri Samajtey Hue Chund Baatein:
    a) Hum Ahlesunnat wa Jama'at Aur Bad Mazhab Deyobandiyon Ke Darmyan Bunyadi Faraq Inki Gustakhana wa Kufrya Ibaaraat Hain, Jis Par Aalahazrat Ne Unke Touba Na Karne Ke Baad Un Par Kufar Ka Fatwa Saadir Farmaya!
    b) Jbke Apne Apko Ahl e Hadis Kehalwane Wale Wahabi (Gair Muqallid) Taqlid Ka Inkar Krte Hen, Na Kisi Imam Ko Maantey Hen.
    c) Khud In Dono Bad Aqida Mazahib Ke Aapas Me Bhi Jhagre Hen: "Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ke Perokaar Ko Wahabi Kehte Hen, Unke Aqaid Barey Gandey The, MuazALLAH Us Ne Likha Ke Meri Ye Laathi Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Se Behtar He Ke Main Is Se Kuttey Ko Bhaga Sakta Hu" (Shihab e Saqib, Hussain Tandwi Madni Deyobndi).
    5. Ye To Ek Baat Batayi He Jo Khud Deyobndion Ne Likhi, Iske Elawa Bi Inke Ajeeb Aqaid Hen. Chund Misaalen:
    "Jiska Nam Muhammad Ya Ali Wo Kisi Cheez Ka Maalik o Mukhtar Nahi" "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ke Chahney Se Kuch Nahi Hota" "Har Shakhs Chahe Nabi Ya Wali Ho, ALLAH Ke Aage Chamaar Se bhi Zyada Zalil Hai" "Nabi Aisa He Jese Gaaun Ka Chaudhry" "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wassalam) Mar Kar Mitti Me Mil Gaye" (Kitab Touheed, Taqwia tul Iman By Ismail Dehalwi) Ye Shakhs Wahabi, Deyobandi Dono Ka Imaam Hai.
    6. Ab Chund Haaliya Saudio Ki Gustakhyan: Madine Sharif Me Istinja Ke Maqaam Par Aur Gutter Ke Dhakno Par Lafz e Madina Likha Hai. Inka Kehna Hai Ke Madina Paak Aane Ka Koi Faida Nahi. Shah Khalid Ke Dour Me Akhbar Me Ye Mazmun Aaya Ke Gunbad e Khizra SANAM E AKBAR (Bara But) Hai, Isey Girana Wajib Hai.
    7. Hamara Imaan Hai Aur Ahadis Se Sabit Hai Ke Sarkar Ke Rozey Ki Zyarat Karne Wale Ke Liye Shafa'at Hai (Tirmizi). Ek Namaz Ka Sawab 50,000 Gunaa Zyada Hai, (Muslim) Sab Se Bara Wasila Zaat e Mustafa Hai, Jisko Jo Milta Hai Unke Darr Se Milta Hai, Dene Wala ALLAH Aur Taqsim Karne Wale Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wassalam) Hain, (Bukhari).
    8. Qanoon Hai Ke Pyasa Darya Ki Taraf Rukh Karta Hai. Magar Wahan Jab Hum Roza e Sarkar Ki Taraf Jab Mun Kartey Hain To Takke Takke Ke Mulazim Aur Chaprasi Wahan Kharey Peeth Kye Hote Hain, Aur Na Sirf Khud Kuch Hasil Karte Hain Bulke Dusro Ko Bhi Bey Adabi Par Majbur Kartey Hain, Jooton Samet Masjid Me Aate Hain.
    9. Karachi Me Inke Imamo Sudais Aur Ayub Ki BAKWASAAT: Mazaraat Par Jane Wala Mushrik Hai. Sahib e Mazar Ne Kabi Jawab Dya Hai? Hum To Subah o Shaam Ya RasooLALLAH Kehne Waley, Hum Mazaarat Par Jane WaleyIn Bewaqufon Se Koi Puchey Ke Jab ALLAH se Dua Karte Hain To Kya JawabKi Aawazen Ati Hain?
    10. Imam Shafayi Ko Koi Mas'ala Darpesh Hota, To Wo Mazar e Imam e Azam Par Jakar Dua Kartey, Mas'ala Hal Hojata. Iske Elawa Ye Aqaid Deegar Ahadis Se Bhi Sabit Hain.
    11. Thandey Dimag Se Sochiye - Hum, Humare Baap Daada Sub Mazaraat Par Jaaney Waley, YA NABI Kehne Waley. Agar Hamare Baap Ko Koi Gaali Dey To Kya Hum Uske Pichey Namaz Ada Karenge? Aur MUSHRIK Se Bari Kya Gaali Hogi? Hum Jhagra Nahi Kartey. Bus Seedhi Si Baat Karte Hain. Jo Hame KAAFIR Kahe, Khud KAAFIR Hai.
    12. Aaj Kal Ek Nayi Baat Riwaj Paa Rahi Hai. Ke Agar Wo Galat Hain, To HARMAIN SHARIFAIN Ke Imam Kaise Hain. Aur Inki Hukumat Kaise Hai? Kisi Ka Kahin Hukumat Karna Uski Haqqaniyat Ki Dalil Nahi Warna Kaaba Me 300 Saal Tak 360 Buth Na Rehtey, Agar Koi Soche Ke Ye Dour e Risalat Se Pehle Hua To Uska Jawab:
    13. Dour e Risalat Ke Baad Bhi Aisa Hua Hai Ke Baatil Hukumat Arab Sharif Par Qaabiz Rahei. Yazid Palid Ka Dour: Jo Yazid Ko Amir ul Mominin Kahey Usey 100 Korey Maare Jayen (Hzrat Umar Bin Abdul Aziz) Ye Jab Madina Paak Par Haakim Hua To Makkah Mukarram Par Charhai Ki, Kaabey Par Manjabiq Se Pathar Barsaye, Jannati Dunbey Ka Seeng Jala Dya, Sahabi e Rasul Abdullah Bin Zubair Ko Sooli Charhaya Aur Theen Din Tak Inki Laash Mubarak Bazaar Me Latki Rahi (Tibrani).
    14. Dour e Yazid Aur Madina - 10,000 Sahaba o Taabiyen Ko Qatal Karwaya. Paak Baaz Aurton Ke Sath Zina Ki Ijazat Di. 3 Din Tak Masjid e Nabwi Me Namaz Na Hui. Masjid Ke Sutoono Se Godhe Baandhe Gaye Jo Najasat Kartey the. (Tibrani). Kya Is Palid Ki Hukumat Iski Sachayi Ki Dalil Hai? Baad Me Bi Batil Log Aaye.
    15. Alwi Hukumat - Ye Shia Khaandaan The. Ine Bi 100 Saal Makkah wa Madina e Muqaddas Par Hukumat Ki. Wo Siddique o Farooq RadiyALLAHu anhuma Ke Jism e Aqdas Ko Nikalne Ki Naa Paak Jasaarat Karne Waley They. Kya Shia Musalman Hain? Kya Inka Hukumraan Rehna Bi Inke Durust Aqaid Ki Dalil Hai? Hargiz Nahi !
    16. Turkiyon Ki Hukumat - Haan Ye Sachey Aashiq e Rasool Hain. Inki Aqidat o Muhabbat Ki Taareekh Gawah Hai. Har Bacha Hafiz e Quran tha. Ek Ek Pathar Torne Ke Lye Shehar Se Baahar Jatey. Taameer e Harmain Me Har Har Pathar Par Quran Parh Kar Damm Kya Jaata waghaira. (Tareekh e Hijaz, Khaak e Hijaz Ke Nigehbaan)
    17. Maujuda Hukumat Saudion Ka Haal - Pehle Hi Inke Aqaid wa Mushahidaat Se Aagaah Kya Gaya. Mazid Ye Ke: Rozey Ke Qarib Washroom Banaye Aur Inka Rukh Mazar Ki Taraf Rakha. Mazaraat e Jannatul Baqee Par Buildozer Chalaya. Mazar e Hamza Par Dua Karne Par Pabandi, Jabke Khud Nabi Paak Aur Inke Sahaba Ka Ye Amal Raha.
    18. Jabke Khud Deyobandi Maslak Ke Molvi Zikarya Likhte Hai Ke Roza e Rasool Ko Peeth Karna Be Adabi Hai, Wahan Nange Pair Phirna Ye Adab Hai (Tabligi Nisaab). Saudi ehte Hain: Dua Qible Ki Taraf Mun Karke Ki Jaye. Koi In Se Puche Ke Kya Har Dua Ke Lye Qibla Ki Taraf Mu Hona Zaruri Hai? Inke Dua Ka Qibla To Aasmaan Hai.
    19. Lekin Har Dua Ke Lye Qibla Ya Aasmaan Ki Taraf Mu Karna Zaruri Nahi. Iski Chund Misalen: Istinja Khane Jate Waqt Jab Hum Dua Parhte Hain? Khana Khate Waqt Dua. Malikyo Ke Nazdik Khutbe Me Dua Karna Wajib Hai, Aur Khud Saudiyo Ka Imam Jab Khutbe Me Dua Karta Hai To Qible Ki, Mukhalif Simet Rukh Hota Hai.
    20. Ye Kehte Hain Namaz Ki Halaat Me, Jis Tarah Haath Baandh Kar Kharey Hote Hain Roza e Paak Par Is Tarah Na Khare Hona Chahye? Phir Koi Aisi Haalat Ye Bataden Jo Namaz Ke Rukn Se Mushabihat Na Rkhti Ho, Agar Hath Chor Kar Khare Hon To Bi Namaz Ke Arkaan Me Se Hai Ke Ruku Ke Bad Hum Yu Hi Khare Hote Hain.
    21. 500 Muqtadar Ulama Ka Fatwa - Sarkar Alaihisalatu wassalaam Ki Baargaah Me Aise Khare Hojao Jesey Namaz Me Khare Hotey Ho (Fatawa Alamgiri).
    22. Ye Kehte Hain Ke Roza e Rasul Par Kya Khare Hote Ho? Inke Liye Jawab Ye Hai: Kyunke Yahan Barkat Hai. (Sura Bani Israel Ayat-1) Is Ayat Me Likha Hai Ke Masjid e Aqsa Ke Ird Gird Barkat Hai. Imam Razi: Is liye Ke Ird Gird Anbyaa Ke Mazaraat Hai. (Tafsir e Kabir). Jab Deegar Mazaaraat Ka Aalam Ye Hai To Roza E Sarkar Ka Aalam Kya Hoga.
    23. Kya Zaruri Hai Ke Hum Wahan Jayen To Inke Peeche Hi Namaz Parhen? Jawab: Na, Nahi, Hum Ne Visa Is Shart Par Lya Ke Gustakho Ke Peeche Namaz Parhen NaHi Ye WAJIB Hai.
    24. Khud Inka Apne Imam Ke Sath Sulook - Ek HUZAIFEE Naami Inka Imam Jis Ne Blue Arabic Urdu Style Quran Publish Karwaye, Jab Is Ne Shiyo Ke Khilaaf Speech Ki To AMERICA Ke Kehne Par Usey Band Kardya Gaya, Aur Imaamat Se Maazul Kardya Ab Imam Se Muhabbat Wala Qanoon Kahan Reh Gaya? Ab Aqidat Wajib Nahi?
    25. Aqaid Ke Baad Ab Masail Ki Roshni Me - Saudiyo Ki Namaz Ka Aalam - Kapro Ko Baar Baar Cherna Namaz Ko Kharab Kardeta Hai. Jabke: Inka Imam Har 1 Minute Ke Baad Apna Jubba Thik Karta Hai, Bulke Jaib Se Tissue Nikaal Kar apni Naak Saaf Bi Karta Hai, Aap Kisi Video Me Ba Aasani Ye Ajeeb Manazir Dekh Sakte Hain.
    26. Saudi Namaziyo Ka Haal - Namaz Ki Halaat Me Dukan Ki Chaabiyan Dhund Kar Dete Hain. Mobile Baja To Recive Karke Keh Diya,"Salli Salli (Me Namaz Me Hun)" Phir Namaz Ko Jaari Hi Rakhte Hain. Koi Namaz Ke Aage Se Guzra To Namaz Me Hi Ladne Beth Jayenge. Paun Sajde Me Zamin Par Nahi Lagte. Waghaira Waghaira.
    27. Deegar Ikhtilafi Masail Ka To Jawab Hi Nahi - Asar Ke Waqt Ka Mas'ala Bi Apni Jaga - Masjid e Nabwi Me Kayi Log Imam Se Aage Khare Hote Hain Goya Niyyat Yun Karte Hain" ... Aagey Is Imaam Key" Aqaid Me. Gandey, Anbya O Sahaba Ke Gustakh, Masail Ka Pata Nahi, To Kese hum apni Pyari Namaz Inke Hawaley Karden?
    28. Ye Gaib, Shafa'at, Tawasul Waghaira - Sabke Munkir Hain. LIHAZA Namaz Parhna Inki Iqtida Me Durust Nahi. InKe Peeche Namaz Goya Inki Bad Aqidgi Par Raazi Rehna Hai. Agar Fitne Ke Khoff Ki Waja Se Khara Raha To Phir Naye Sirey Se Namaz Parega. Agar Usey Durust Samaj Kar Uski Iqtida Ki. To IMAAN KA MAS'ALA Hai.
    29. Yaad Rahen! Hajiyon Ke Lye Arafaat Me Masjid e Nimra Jana Laazim Nahi, Na Hi Hajj Ka Khutba Sunna Wajib. Lihaza Zohar o Asar Bi Apne Khaime Me Hi Ada Karega.
    30. Sawaal: Kya Bad Mazhab Ki Iqtida Me Namaz Durust Hai? Jawaab: Mafhum e Hadis: "Gustakh Ko Imam Mat Banao" (Abu Dawood J-1 S-221 H-479) ALLAH Kisi Bad Mazhab Ki Namaz, Roza, Zakaat Qubul Nahi Karta (Behiqi). Bad Mazhab Ke Peechey Namaz Parhna Jaiz Nahi. (Sharah Fiqh e Akbar P5; Mulla Ali Qari) 

No comments:

Post a Comment