Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Saturday, July 27, 2013

Logon Ko Jagaane Waalee Chaar Faislah Kun Ahaadees-E-Motwaatirah


BISMILLAAHIRRAHMAANIRRAHEEM
Logon Ko Jagaane Waalee Chaar Faislah Kun Ahaadees-E-Motwaatirah
Nahmaduhu Wa Nusallee Wa Nusallimu A`laa Rasoolihil-Kareem.
(Ahaadees-E-Motwaatirah Oon Ahaadees Ko Kahaa Jaataa Jo Ham Logon Tak Is Tarah Se (Kasrat-E-Riwaayat Ke Saath) Pahoonchee Hain Ki Oon Main Shak Na Ho.Ahaadees-E-Motwaatirah Main Shak Karnaa Kufr Hai.)
Yahaan Sirf Chaar Ahaadees Naql Hain,38 Ahaadees Ke Saath Is Document Ko Padhne Ke Liye Is Link Par Click Karein...
Allaah Tàalaa Sooreh Baqrah Shareef Ki Aayat Number 8 Main Irshaad Farmaataa Hai“Aor Kuch Log Kehte Hain Ki Hum Allaah Tàalaa Aour Pichle Din(Qayaamat) Par Imaan Laaye Aour Woh Imaan Waale Naheen”

Ssaheeh Bukhaaree Shareef Main “Fadhaael Quraan Paak” Ke Bayaan Main Yeh Hadees-E-Motwaatir Hai.
Hadhrat A`lee Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Riwaayat Karte Hain Ki Main Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Ne Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmaate Hooye Soona Hai Ki Aakhir Zamaane Main Nav Umar Log(Kam Umar Log) Halkee A`qlon Ke Paidaa Honge,Jo Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Qaul(Hadees Shareef) Bayaan Karenge Aour Woh Deen Se Aise Nikle Hooye Honge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaataa Hai,Un Kaa Imaan Un Ke Galon Se Niche Nah Utregaa,Jahaan Woh Tumhein Milein, Unhein Maar Daalo, Kyon Ki Maarne Waalon Ko Un Ke Maarne Kaa Qayaamat Ke Din Sawaab Milegaa.
Asal Main Imaan Waalaa(Musalmaan) Woh Hai Jo Kaafir Na Ho.Is Fitnon
Bharee Duniyaa Main Agar Koi Yeh Kahe Ki Har Kalmah Namaaz Padhne Waalaa Imaan Waalaa Hai To Woh Sooreh Baqrah Shareef Kee Is 8 Number Kee Aayat-E-Kareemah Aour Bukhaaree Shareef Kee Is Hadees Shareef Kaa Mukhaalif Hai.
Aour Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Bhee Bataa Diyaa Hai Ki “Imaan” Waalon Kaa Jo Sachchaa Giroh Rahegaa Oos Ki Nishaanee Yeh Rahegee Ki Woh Har Dour(Har Zamaane) Main Qayaamat Tak Rahegaa,Chunaanchah
Tirmidhee Shareef Main “Fitnon Kaa Bayaan” Main Yeh Hadees-E-Motwaatir Hai.
Hadhrat Thawbaan Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Ki Mujhe Apnee Ummat Par Gumraah Karne Waale Hukmaraanon Kaa Dar Hai, Hadhrat Thawbaan Radhiyallaaho Tàalaa A`nho Yeh Bhee Farmaate Hain Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Bhee Irshaad Farmaayaa Ki Meree Ummat Main Se Aik Jamaa`t Hameshah Haq Par Rahegee Aour Woh Hameshah Apne Dushmanon Par Gaalib Honge Unhen Kisee Kee Iaàanat(Madad) Tarak Kar Dene Se Koi Nuqsaan Naheen Pahoonchegaa Yahaan Tak Qayaamat Aa Jaayegee.Yeh Hadees Shareef Saheeh Hai.
Aour Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Is Baat Ki Sakht Taakeed Farmaayee Hai Ki Sachchon Ki Jamaa`t Ke Saath Raho,
Ssaheeh Bukhaaree Shareef Main “Ahkaam Kaa Bayaan Main” Yeh Hadees-E-Motwaatir Hai.
Hadhrat Ibne A`bbaas Radhiyallaaho Tàalaa A`nhumaa Riwaayat Karte Hain Ki Nabee Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaayaa Ki Jis Ne (Musalmaanon) Ke Ameer Se Koi Aisee Cheez Dekhee Jo Usko Naa Pasand Ho To Oos Ko Chaahiye Ki Sabr Kare,Is Liye Ki Jo Shakhs Jamaa`t Se Aik Baalisht (Bhee) judaa Hotaa Hai Aour Mar Jaataa Hai To Woh Jaahiliyat Ki Mout Maraa.
Aour Sachche Imaan Waalon Kaa Jo Aik Giroh(Group) Har Dour Main Rahega Oos Kee Aik Khaas Nishaanee Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aage Kee Hadees-E-Motwaatir Main Bataayee Hai,
Ssaheeh Bukhaaree Shareef Main “I`lm Kaa Bayaan” Main Hadhrat Hameed Bin A`bduRRahmaan Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Riwaayat Karte Hain Ki Main Ne Aik Martabah(Aik Baar) Hadhrat Ameer Muaàviyah Radhiyallaaho Tàalaa A`nhu Ko Khutbah Dete Hooye Soonaa Ki Main Ne Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmaate Hooye Soonaa Ki ALLAAH Tàalaa Jis Ke Saath Bhalaayee Karnaa Chaahtaa Hai Oos Ko Deen Ki Samajh Inaayat Farmaataa Hai Aour Main Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam To Taqseem Karne Waalaa Hoon Aour Detaa To ALLAAH Taàlaa Hee Hai(Yaad Rakkho Ki)Yeh Ummat Hameshah Allaah Tàalaa Ke Hukm Par Qaayem Rahegee,Jo Shakhs Oon Kaa Mukhaalif Hogaa Oon Ko Nuqsaan Nah Pahunchaa Sakegaa,Yahaan Tak Kee Qayaamat Aa Jaaye.
Is Hadees-E-Motwaatir Main Pahle Yeh Bataayaa Gayaa Hai Ki ALLAAH Tàalaa Jis Ke Saath Bhalaayee Karnaa Chaahtaa Hai Oos Ko Deen Ki Samajh Inaayat Farmaataa Hai Aour Oos Ke Bàd Yeh Bataayaa Gayaa Hai Ki Allaah Tàalaa Detaa To Hai Lekin Oose Taqseem Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaate Hain,Yàni Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam “Qasim” Hain.Is Hadees-E-Motwaatir Main Allaah Tabaarak Wa Tàalaa Kee Taraf Se Bande Ko “Deen Kee Samajh” Yàni “Hidaayat” Milne Jaisee A`zeemushshaan Nèmat Kaa Zikr Hai,To Is Kaa Matlab Yeh Hai Ki Rasoolallaah Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Hidaayat Jaisee Nèmat Bhee Taqseem Farmaate Hain.Aour Oos Ke Bàd Is Hadees Shareef Main Yeh Bataayaa Gayaa Hai Ki Yeh Ummat-E-Mohàmmadiyah Qayaamat Tak Qaayem Rahegee.Ab Zaahir Hai Jo Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Baaton Kaa Inkaar Karegaa Woh To Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Ummatee Hargiz Naheen Ho Saktaa.To Jo Giroh Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Allaah Tàalaa Kee A`taa Ko Taqseem Karne Waalaa Yàni Qaasim Maantaa Hai Wohee Giroh Is Hadees-E-Motwaatir Ke Mutaabiq “Haq”Par Hai, Aour Ssaheeh Mànon Main Sarkaar Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Kaa Ummatee Hai.
Is Hadees Shareef Main Saaf Tour Par Yeh Faislah Kar Diyaa Gayaa Hai Ki Sachche Imaan Waalon Kaa Qayaamat Tak Jo Giroh Rahegaa Woh Is Baat Kaa A`qeedah Rakhegaa Ki Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Taqseem Farmaane Waale “Qaasim” Hain.Aour Is Hadees-E-Motwaatir Main Insaan Ke Liye Sab Se Zyaadah Zarooree Baat Ya`ni Deen Kee Samajh Kaa Zikr Hai,Jo Ki Allaah Tàalaa Detaa Hai Lekin Oos Samajh Ko Bhee Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Taqseem Farmaate Hain.
To Yeh Hadees-E-Motwaatir Yeh Faislah Farmaa Rhee Hai Ki Aaj Ke Zamaane Kaa Koi Bhee Insaan Agar Haq Aour Baatil Main Farq Karnaa Chaahtaa Hai To Yeh Dekhe Ki Ooper Kee Chaaron Ahaadees-E-Motwaatirah Ke Mutaabiq Kounsaa Giroh Hameshah Har Dour Mai Rahaa Hai Aour Aaqaa Ssallallaaho A`laihi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Taqseem Farmaane Waalaa“Qaasim” Maantaa Hai.

No comments:

Post a Comment