• Hum Maslak-e-Aala Hazrat kio kahte hai.....? sab se pahle Aap ye baat Achchi tarh samjh lijiye k Maslak-e-Aala Hazrat se murad (Ma'aaz Allah) koi naya Maslak nahi hai.Balke jis Maslak par Aaj Maslak-e-Aala Hazrat ka jis par Ittelaq ho rahahai ye wohi Maslak hai jis par Sahab'h, Tabain, Tabe Tabain, Saliheen aur Ulmay-e-Millat Qayam the.Dar Asal is ki wajah-e-Tasmeeya'h ye hai k Taqreeban 2 Sadi pahle Hindustan ki sarzameen par kai naye firqo'n ne janm liya aur in Firqo'n k Alam bardaro'n ne Ahle Sunnat wa Jamat k Aqaid-o-Ma'amulat ko Shirk-o-Bibat qarar dene ki sharm naak rawish Ikhteyar ki.Khususan Molvi Ismail Dahlvi ne Wahabi Maslak ki Isha'at k liye jo Kitab Taqviyatul Iman k Naam se likhi,is me Ilm-e-Gaib-e-Mustafa (sallallaho alaihi wa sallam) Hazir-o-Nazir,Shafa'at,Ista'anat,Niday-e-Ya Rasool Allah (sallallaho alaihi wa sallam), Hayatun Nabi (sallallaho alaihi wa sallam),Ikhteyaratun Nabi (sallallaho alaihi wa sallam) Etc,tamam Aqaid ko Kufar-o-Shirk qarar de diya.Jab k ye sare Aqaid Roz-e-Aowal se Quran-o-Sunnat se Sabit hai.isi tarh Milad,Qayam,Salat-o-Salam,Isal-e-Sawab,Urs ye sab Ma'amulat jo Sadye'n se Ahle Sunnat wa Jamat me Raij hai aur Ulmay-e-Ummat ne Inhe'n Bais-e-Sawab Qarar diya hai Laikin Naye Firqo'n k Alam Bardaro'n ne in aqaid-o-Mamulat ko Shirk-o-Bidat Qarar dete hoye Apni sari Tawanai Inhe mitane par sarf ki.Laikin isi zamane me Ulmay-e-AhleSunnat ne apni Qalam se Un Aqaid-o-Mamulat ka Tahaffuz farmaya aur tahrir-o-Taqrir aur Munazro'n k Zariay hai Aitaraaz ka danda Shikan Jawab diya.Aqaid ki isi Ma'arkah Aarai k Daor me Bareilly ki sar Zameen par Imam Ahmed Raza khan (rahmatullah Alaihi) Paida hoye.AAp 1 Zabarsat Aalim-e-Deen the.Allah ne Aap ko Bepanah Ilmi Salahiyato'n se Mala mal farmaya tha aur Aap Taqreeban 55 Uloom me Maharat rakhte the Khususan Ilm-e-Fiqah me Aap k Daor me koi Aap ka Sani na tha.Maulana ki Ilmi Salahiyato'n ka Aiteraf un logo ko bhi hai jo un k Mukhalif hai.bahar haal Maulana ne Apne Daor k Ulmay-e-AhleSunnat ko dekha k wo Batil firqo'n k Aitaraz k Jawabat de kar Aqaid-e-AhleSunnat ka Dafa'a kar rahe hai to Aap ne bhi is Azeem Khidmat k liye Qalam Uthaya aur Ahle Sunnat wa Jamat k Aqaid k Sabut me Dalail-o-Baraheen k Ambar laga diye.1 1 Aqeede k Sabut me Kai Kai Kitabe'n Tasneef farmai.Sath hi sath jo Mamulat Aap k Zamane me Raij the un me se jo Quran-o-Sunnat k mutabiq the Aap ne Un ki Taid farmai aur jo Quran-o-Sunnat k khilaf the Aap ne un ki tardeed farmai.is tarh be shumar Maozo'aat par 1000 se Zada kitabo'n ka Azeem Zakhirah Musalmano'n ko Ata farmaya.bahr Haal Aap ne Batil firqo'n k Rad me Aqaeed-o-Mamulat-e-Ahle Sunnat ki Taid me Jo Azeem khudmat anjam di us dunyad par aap Ulma-e-Ahle Sunnat ki saf me Sab se numaya'n ho gaye aur Aqaeed-e-Ahle Sunnat ki Zabardast wakalat karne k sabab se ye Aqaeed Imam Ahmed Raza ki Zaat ki taraf Mansub hone laga aur ab Haal ye hai k Koi Hijazi ya Shami ya Yamani ya Iraqi ya Misri ho Madina me "Ya Rasool Allah" kahta hai Halake us ka koi talluq Bareilly city se nahi hota.isi tarh agar koi "Asalukal Shafa'ata Ya Rasool Allah" kahe kar Nabi Akram sallallaho alaihi wa sallam se Shafa'at talab karta hai to wo chahe Jaziratul Arab hi ka rahene wala kio na ho,Wahabi use bhi Bareillvi hi kahte hai jab k Bareillvi use kahna chahiye jo Bareilly city ka rahne wala ho.laikin is ki wajah Aap samjh sakte hai k ye Aslaf k wo Aqaeed hai jin ki Imam Ahmed Raza ne Dalail k Zarye Shad-o-Mad se Taeed farmai hai aur in Aqaeed ka Sabut me Sab se Numaya'n khudmat anjam di hai.jis ki wajah se ye Aqaeed Imam ahmed Raza se is Qadar Mansub ho gaya hai k Dunya ka koi bhi musalman agar in Aqaeed ka Qail ho to use Maulana ki tarf Mansub karte hoye Bareillvi hi kaha jata hai.ab chonke Hindustan me Firqo'n ki 1 bhid maojud hai is liye Ahle Sunnat wa Jamat ki shanakhat qaim karna Nagurez ho gaya hai is liye k Deobandi firqa bhi apne Aap ko Ahle Sunnat hi Zahir karta hai jab k Deobandio'n k Aqaeed bhi wohi hai jo wahabio;n k hai Farq sirf itna hai k Wahabi apne aap ko Ahle Hadis kahte hai aur Aaimah Arba'h me se kisi ki Taqleed nahi karte.aur deobandi taqleed to karte hai laikin wahabio'n k Aqaeed ko Haq sahi mante hai is liye Maujoda'h Surat me Asal Ahle Sunnat wa Jamat kon hai ye samjhna bahut Dushwar hai. yehi wajah hai k Hamare Ulma ne Ahle Sunnat wa Jamat ko Digar firqo'n se Mumtaaz karne k liye "Maslak-e-Aala Hazrat" ka Istamal munasib samjha.is ka sab se bada Faida ye hai k Ab Jo Maslak-e-Aala Hazrat ka Manne wala Samjha jaye ga us k bare me Khud ba Khud ye Tasdeeq ho jaye gi k ye Ilm Gaib,Hazir-o-Nazir,Iste'aanat,Shafa'at etc.ka Qail hai aur Mamulat-e-Ahle Sunnat wa jamat Milad, Qayam,Salat-o-Salam etc ko bhi bais-e-Sawab samjhta hai. Agar koi ye Kahe k Nahi Faqt apne Aap ko sunni kahna Kafi hai to Mai ye Kaho'n ga k Agar koi Shakh Apne Aap ko Sunni kahe to Aap kya Samjhe ge ye kon sa Sunni hai? Imam Azam Abu Hanifa radi Allah anhu ki Taqleed karte hoye Wahabi Aqaeed ko Sahi Manne wala.......ya phir ....Ya Rasool Allah Sallallaho Alaihi wa sallam kahne wala. Zahir hai Sirf Sunni kahne se koi shakhs Pahechana na jaye ga.Magar Apne Aap ko koi Maslak-e-Aala Hazrat ka Manne wala kahe to us Musalman k Aqaeed-o-Nazaryat ki Puri Nishandahi ho jati hai. Ahle Iman ko hai daor me Shinakhat ki zarurat Mahsos hoi hai.Dekhiye Makka ki Wadio'n me jab Islam ki Dawat Aam hoi to us waqt hai Saheb-e-Iman ko MUsalman kaha jata tha aur jab bhi koi kahta k Mai musalmann ho to us Shakhs k bare me faoran ye Samjh me Aa jata k ye Ahle Sunnat wa Jamat se Talluq rakhta hai,yeni Khuda ki Wahdaniyat ki gawahi deta hai aur Nabi Sallallaho Alaihi wa sallam ki Risalat ko Tasleem karte hoye Aap ki taleemat par Amal karta hai.Laikin 1 sadi bhi na guzri thi k Ahle Iman ko Apni Shanakhat k liye 1 Lafz k Istamal ki Zarurat Mahsus hoi aur wo Lafz "Sunni" hai Wajah ye thi k 1 firqah paida howa jis ne Ma'aaz Allah Hazrat Saiyadna Siddique Akbar,Hazrat Saiyadna Umar Farooque,Hazrat Saiyadna Usman Gani (ridi Allahu anhum) par Tabarra (La'an Ta'an) shuro kar diya aur is me had se age badh gaye.Laikin wo log bhi Apne Aap ko Musalman hi kahete the is liye us Daor me Ahle Sunnat ne Apne Aap ko Sunni musalman kaha.sirf Musalman agar koi Apne Aap ki kahta to is k Bare me ye sawal paida hota k ye Kon sa musalman hai? Hazrat Saiyadna Siddique Akbar,Hazrat Saiyadna Umar Farooque,Hazrat Saiyadna Usman Gani (ridi Allahu anhum) ko manne wala Musalman hai ya Un par Tabarra (La'an Ta'an) karne wala? laikin agar koi apne Aap ko sunni Musalman kahta to is k bare me ye samjh me aa jata k ye Khulfaye Salasa'h ko manne wala Musalman hai.is tarh Khufa par La'an Ta'an karne wala Rafzio'n k muqable me Ahle Sunnat wa jamat ki 1alag Shinakhat qayam ho gai.................."Sunni Musalman".Is silsele me kuch log ye kahte hai k Hanfi,Shafai,Maliki,Hambali ye 4 Maslak to pahle se hai phir ye 5th maslak "Maslak-e-Aala Hazrat" kio kaha jata hai to unhe Malum hona chahiye k Maslak-e-Aala Hazrat ye koi 5th Maslak nahi hai balke is ka Matlab yehi hai k ye 4 Maslak Hanfi,Shafai,Maliki,Hambali haq aur sahi hai aur kisi 1 ki Taqleed Wajib hai aur yehi Amr Aala Hazrat imam Ahmed Raza ki kitabo'n se sabit hai is liye koi Shafai ya Hambali bhi Apne Aap ko Maslak-e-Aala hazrat se Mansub karta hai to is ka yehi Matlab hai k wo furo'iyat me Apne Imam ki Taqleed k sath sath Aqaeed-o-Mamulat-e-Ahle Sunnat wa Jamat ka bhi Qail hai. Raha ye sawal k Mukhaleefin is se ye Propaganda karte hai k ye 1 alag aur 5th Maslak hai to Mai sare Wahabio'n,Deobandio'n ko Challenge karta ho k wo sabit kare k Imam Ahmed Raza ne kis Aqeede ki taeed Quran-o-Sunnat ki Dalil k bagair ki hai.kisi bhi Maozu par Aap un ki kitab utha kar dekh lijiye,har Aqeeda k Sabut me unho'n ne Qurani Aayat, Ahadis-e-Mubarekah aurphir Apne Maoqaf ki taeed me Ulma-e-Ummat k Aqwal pesh kiya hai.Haq ko Samjhne k liye Shart ye hai k Tassub se Bala tar ho kar Imam Ahmed Raza ki Kitabo'n ka Mutal'ah kiya jaye.Mutal'ah k Daoran Aap Wajeh taor par Mahsus kare ge k Aala Hazrat wohi kahe rahe hai jo 1400 Sala'h Daor-e-Islami k Ulma-o-Fuqha kahete rahe hai. Ab bhi agar kisi ko Itminan na howa ho aur wo Maslak k Lafz ko Aala Hazrat ki Tarf mansub kane par Muta'reez ho aur ye samjhta ho k ye 1 Naya Maslak hai to Wahabi,deobandi sambhal jaye aur mere 1 sawal ka jawab de k Maolvi Muhammad Akram jo k deobandio'n k Maotamad muarrikh hai inho ne"Maoj-e-Kaosar" me Shah Waliullah Muhaddis Dahlevi k Aqaeed-o-Nazaryat ka Tazkirah karte hoye bar bar ""Maslak-e-Waliullah"' ka lafz islamal kiya hai to kya 4ro Masalik se Alag ye Maslak-e-Waliullah koi 5wo aur Naya Maslak hai....?