Eid Miladun-Nabi Manana Jayz ya Nazayz
Ahle Hadees aur deoband ke aitrazat ke jawabat. Kya Eid Miladun-Nabi Sallalahualayhiwsallam manana jayaz hai ya najayaz hai
Sawal 1. – 33 sala daur e Nabuwat mai 12 Rabiul-Awwal ko manai jane wali Eid ya nikale jane wale julus ka koi sabot milta hai to hawala dijiye ?
Jawab – Sabse pehle Milad ke lagvi aur istelahi mayne padhiye ..!!
Milad ko lugat mai kahte hai “Baccha janna”
Istelah mai iske mayne hai ki Nabi e karim ki wiladat ki khushi mai aapke Moja;zat aur khasaeel w seerat aur shumal banyan karna
Mewlad manana Quran ki roshni mai
MILAD UN NABI (Alaihe Salaam) KI HAQIQAT
Quran: Aur Yahya par Salaam ho unke Milaad ke Din, Aur Unki Wafaat ke Din, Aur Jis Din Wo Zinda Uthaye jayenge. (Sureh Al Maryam, Aayat:15)
Quran: Aur Salaamati ho Mujh (Hazrat Eisaa (Alaihe Salaam) par Mere Milad ke Din, Aur Meri Wafaat ke Din, Aur jis Din Me Zinda uthaya jaunga. (Sure Maryam, Aayat:33)
Quran: Me (Allah) is Sheher (Makkah) ki Qasam khaata hun, (Aye Habib Alaihe Salaam) Is liye ke Aap is Sheher me Tashreef Marma hon (Aap ka Milaad Huva hai), (Aye Habib Alaihe Salaam Aap ke) Waalid ki Qasam aur Qasam unki (Aap ki) Jinki Wiladat (Milad) huvi hain. (Sureh Al Balad, Aayat:1-3)
Mazkura 3 Qurani Aayat se Sabit hain ke Nabiyon ne Apni Wiladat (Milad) par Salaamati bheji hain.
1 Aayat me Khud Allah ne Hazrat Yahya (Alaihe Salaam) par Milad ke Roz Salaamati bheji hain,
(Note: Jab Milaad Na-Jaiz hota to Allah Khud Milaad ke Roz 1 Nabi ko Salaamati Kyun Bhejta)
2 Aayat me Hazrat Eisaa (Alaihe Salaam) ne Khud Apne Milad par Apne hi Aap ko Salaamati Di hain,
(Note: Jab Milaad Na-Jaiz hota to Hazrat Eisaa (Alaihe Salaam) Khud Apne hi Milaad ke Roz Salaamati Kyun Bhejte)
3 Aayat me Khud Allah ne Makkah ki Ki Qasam Khasyi hai Is liye nahi ke Wahan Kaaba hai Ya Safa Marwa Ya Hajr e Aswad Wagaira hain Balke Is liye Allah ne Qasam Isliye khaya ke Aye Mehboob Makkah ki Qasam Isliye Khaayi gayi hain ke Aap ka Milaad aur Rehna Isi Makkah Sheher me hain.
(Note: Jab Milaad Na-Jaiz hota to Allah Khud Milaad ke liye 1 Nabi ke Sheher Makkah ki Qasam Kyun khaata)
Nabi e karim ne khud apna Milad manaya : - Hazrat Qatadah RadiAllahuanho bayan farmate hai ki bargahe Risalat Salallahualayhiwsallam mai arz ki gai Yaa Rasoolallah Salallahualayhiwsallam aap peer(Monday) ka roza kyo rakhte hai Rasoolallah Salallahualayhiwsallam ne farmaya ki is deen mai peda hua aur isi deen mujh per wahi nazil hui
{Sahi Muslim 819/2 – Raqam 1162 Imam Bahqee }
Neez Hadees se sabit hai ki Nabi e karim ne wiladat ki khusi mai Baqra zibah farmya
{Imam Suyuti Al –Hawi Al Fatawa 1/196 Hasan ul Maqsad fi Amal ul Molid 65 / }
Is se Malum hua ke Milad manna Sunnat e Rasool Salallahualayhiwsallam hai
Jaha tak baat hai Murawajja tarike se Eid Miladun-Nabi Salallahualayhiwsallam manane aur julus(Procession) nikalne ki to iska jawab ye hai ki jese jese zamana tarakee karta rha log har cheez ache se ache tarike se karte rahe jese pehle Maszidein sada simple hua karti thi ab ise Aalishan banaya jata hai ache se ache carpet lagaye jate hai khud decore kiya jata hai marble lagya jata hai , pehle Quran e pak sada kagzat aur jidl mai hote the per ab ise khubsurat tarike se print kiya jata hai khubsurat jild chadhai jati hai jis se Quran e pak dekhne wale ko dur se hi khubsurat lage
Isi tarah pehle milad sadah andaz mai hota tha Sahaba e kiram aur Tabain apne gharo per Mahfil munakad (Rakhte) kiya karte the aur sadqa aur kherat kiya karte the .
Juloos Nikalna SAHABA Ki Sunnat
Jab Aaqa (Alehissalam) Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye. To Logon Ne Khub Jashn Manaya Nojawan Larke Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam RaastoMe Phirte The Aur Nara'Ae Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH
(Muslim J2/P#419)Baab e Karam
********************************************************************************
Sawal 2. 30 sala daure khilafat Rasheedah mai ek baar bhi Eid Milad manai gai ho ya Julus nikala gya ho to Muatbar hawala dijiye ?
Jawab :- G haa Sahaba e kiram alayhirizwan ne bhi Nabi e karim ke samen aapka jashne wiladat manaya hai aur mere Aaqa Salallahualayhiwsallam ne mana nahi farmaya hai balki Khushi ka izhar farmaya hai
Jalilo Qadr Sahabi Hassan bin Sabit RadiAllahuanho ne Nabi e karim ke samne Qasidah padh kar jashne wiladat manaya karte the
Nabi e karim khud Hassan bin sabit RadiAllahuanho ke liye mimbar rakha karte the taki wo is per khade ho kar Nabi e karim ki taarif mai fakhriya ashar (shaer) padhe aur Nabi e karim Hassan RadiAllahuanho k liye dua farmate : E Allah Ruhul Quddus (Jibril Alayhizalam) ke zariye Hassan ki madad farma {Sahi Bukhari Jild 1 / 65}
Milad ke istelahi mayne Mahfil munakad karke Milad ka tazkirah karna hai jo humne Mazkurah Hadees se sabit kiya hai …Ahle Hadees aur Deobandiyon ko challenge hai ki wo Milad Nabi Salallahualayhiwsallam ke Najayz hone per ek daleel la kar de do jisme ye saaf likha ho ki Milad manana Jayaz nahi hai ur ye Buri Bida;at
Hala ki bht sare ese kaam hai jo Sahaba e kiram Alayhirizwan ne nahi kiye aur hum karte hai kyoki unhe mana nahi kiya gya hai aur wo deen ke khilaf bhi nahi
*********************************************************************************
Sawal 3. Eid Milad ke Julus ki sharai Hesiyat kya hai ? Farz Wajib ya Sunnat? Eid ul Fitr ke bare mai Nabi e karim ne farmaya ki ye tumhari Eid hai , Eid ul Azha ke bare mai bhi farmaya ki ye tumahri Eid ka deen hai | aapki is 3 Eid ke bare mai Nabi e karim ne kuch farmaya ?
Jawab :- Eid Miladun-Nabi Salallahualayhiwsallam manan aur isme julus nikalna ye Muhabbat ka Tyohar hai : Na Farz hai na Wajib balki Sunnat aur Mustahb hai Jesa ki upper di gai Hadees se sabit ho gya aur Muhabbat wale kamo ko wajeh tor per bayan nahi kiya jata balki iski janib isharah kiya jata hai
{Al Quran} :- Isa ibn Maryam ne arz ki e humare Rab hum per asman se ek khwan utar ke wo humare liye Eid ho aur humare agle pichlo ki aur teri taraf Nishani
{Surah Maidah Ayat no. 113} Hazrat Isa Alayhisalam ke zariye se hum tak ye soch muntakil hui ki jis din khwan Naimat utre us deen Eid manai jaye aur jis din Jane Rahmat Salallahualayhiwsallam utre us deen Eid kyo na ho
Hazrat Abu Lubaba Manzar RadiAllahuanho se maqul hai k Nabi e karim ne farmaya ki juma ka deen tamam deeno ka sardar hai aur Allah ke waha tamam se aziz (pyaara) hai aur ye Allah ke yaha youme ul Azha aur yome ul Fitar se afzal hai {Mishkat Babul Juma}
Ab Juma ka den Eid ul Azha aur Eid ul fitar se kyo afzal hai :
Mulahiza kijiye : - Hazrat Owais bin Owais RadiAllahuanho se marvi hai Nabi e karim ne fazilat e Juma bayan karte huw farmaya k tumhare deeno mai sabse afzal juma ka deen hai isi deen Adam Alayhisalam ko peda kiya gya aur isi deen unka wisal hua {Abu Daud , Ibn maza , nisaee}
Is mai Nabi e karim ne isharah farma diya hai ki e Musalmano ab tum khud samjh lo jis din Adam Alayhisalam Wiladat hui wo deen eid ka deen hai to wo deen kis kadar muqaddas hoga jis deen meri wiladat hui …to hume jaan lena chaiye ab ke jis deen Nabi e karim ki wiladat hui wo deen Eid ul azha Eid ul firtar Juma Shabe Qadar sab se afzal hai kyoki Nabi e karim ke sadke mai hi hume ye sare tyohar( function) naseeb huwe hai
Mere Aaqa Ala Hazrat kya khub farmate hai :
Wo jo na the to kuch na tha || Wo jo na ho to kuch na ho
Jaan hai wo Jahan || ki jaan hai to jahan hai
********************************************************************************
Sawal No. 4. Aeema RAhimullah mai se kisi ne Eid Milad manai thi ? aur julus mai shirkat ki thi ? aur Milad ki mahfil mai Nabi e karim ke zikr per khade huwe the sirf ek hi Moatbeer ka hawala pesh kare sheikh Abdul Qadir Jilani Rahmatullahalay ne apni zindagi mai ek bar bhi Eid milad manaya ho to bataye ?
Jawab : - Alhamdulillah huamre Aieema Rahimullah aur sarkare Gause Azam RadiAllahuanho se Jashne milad manana sabit hai . lekin ise sabit karne se phele humara gair mukaleeding Ahle Hadees hazrat se sawal hai ki aap log to Aieema Rahimullah ka sire se inkar karte ho aur agar hum ye sabit kar bhi dein tab bhi aap log tasleem nahi karoge kyoki jo kisi ki zaat ka sire se inkar kar dein wo uske amal ko kese tasleem karega …
Humara dusra sawal Eid milad ki adawat dushmni mai aap log ye bhul gaye ki tumhare nazdeek Aieema Arbia Imam hi nahi hai to fir aapne 4 ko Imam kese likh diya
Jab humne sahaba e kiram aur khud Nabi e karim se milad ka sabot pesh kar diya hai to fir bhi tum nahi maan rahe ho to Aieema aur Gause Azam Rahamatullahalayhi ka martba Nabi e karim aur Sahaba se badh kar to nahi hai ……Agar aap wakai manna chate to yehi daleel kafi hoti ..magar aap log fitna fasad felane ke liye aur Nabi e karim ki wiladat se adawat rakhne aur Ahle Sunnat ke bhole bhale Musalmano ko bahkane ke siwa kuch nahi hai .
No comments:
Post a Comment