HIQAYAT:-
''''''''''''''''''
Hazrat Junaid Baghdaadi Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ke Zamane May Ek
Majusi (Aag Ka Pujari) Rehta Tha! Ek Roz Usne Apne Gale May Jannaar (Ek
Kism Ka Dora Jo Majusi Baandhte The) Pehna Aur Uske Uper Musalmano Ka
Libaas Pahenker Hazrat Junaid Ke Paas Aaya Aur Kehne Laga Ki Main Ek
Hadees Ka Matlab Puchne Aaya Hoon! Wo Yeh Hain-
TARJUMA:-
'''''''''''''''''''
"Momin Ki Firasat Se Daro Isliye Ki Wo ALLAH Ke Noor Se Dekhta Hain!"
Is Hadees Ka Kya Matlab Hain? Hazrat Junaid Bagdaadee Radhiyallaaho T`aalaa A`nho Muskuraye Aur Farmaya Ki Is
Hadees Ka Matlab Yeh Hain Ki Tu Apna Jannaar Tod, Kufr Chhod Aur Kalima
Padhker Musalman Hoja! Majusi Ne Jab Yeh Suna To Fauran Pukaar Utha-
"Ash-Hadu-Al-Laa-Ilaha-Illallah-Wa-Ash-Hadu-Anna-Mohammadur-Rasoolallah!"
(Tazkiratul Auliya, Pg-433)
*********************************
SABAK:-
''''''''''''''
ALLAH Ke Maqbool Bande Jo Sahi Mayino May Sahib-A-Imaan Hote Hain Unki
Nazar Se Koi Baat, Poshida Baat Chupi Nahi Rehti! Wo ALLAH Ke Noor Se
Sab Kuch Dekhte Hain, Fir Jo Khud Sarwar-A-Aalam
SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM
Se Jinke Sadqe May In ALLAH Walon Ke Aisi Nazar Ata Hoti Hain Ki
Qayamat Ki Koi Shai Kaise Poshida Reh Sakti Hain? Sach Farmaya Aala
Hazrat Ne Ki-
Dil-A-Farsh Per Hain Teri Nazar,
Sir-A-Arsh Per Hain Teri Guzar!
Malkoot Wa Mulk May Koi Shai Nahi,
Wo Jo Tujh Pe Aaya Nahi!
No comments:
Post a Comment