Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Tuesday, March 13, 2012

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam


Jis taraf uTh gayee dam mein dam aagyaUss nigaah i 'inaayat pe laakhon salam

Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko'iiAankhon walon kii himmat pe laakhon salam

Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaanKaan e la'l e karaamat pe laakhon salam

Patli patli gul e quds ki patiyaaNUn laboN ki nazaakat pe laakhon salam

Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kayUn sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam

Woh dahan jis kii har baat wahi e KhudaChasma e 'ilm o hikmat pe laakhon salam

Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaanUs dahan kii tarawaT pe laakhon salam

Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banayUss zulaal halaawat pe laakhon salam

Voh zubaan jis ko sab kun kii kunji keheinUski nafiz hukumut pe laakhon salam

Uski pyaarii fasaahat pe bayhad duroodUski dilkash balaaghat pe laakhon salam

Uski baaton kii lazzat pe laakhon duroodUskay khutbay kii haybat pe laakhon salam!

Rîsh e khush mu'tadil marham rîsh eHaala e maah i nudrat pe laakhon salam

Khat kii gird dahan who dil-aara phabanSabza i nahr e rahmat pe laakhon salam

Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaNUs galay kii nazaarat pe laakhon salam

Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharafAisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam

Hajr e aswad e Ka'aba e jaan o dilYa'ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam

Bay-saheem o qaseem o adeel o maseelJohar e fard e izzat pe laakhon salam

Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahinAisay baazoo kii quwwat pe laakhon salam

Ka'aba e deen o imaan kay donon sutoonSa'idayn e Risaalat pe laakhon salam

HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiyaMawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam

Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karamIs kaf e bahr e himmat pe laakhon salam

Noor kay chashmay lehrain, daryaa beheinUngliyon kii karaamat pe laakhon salam

Eid e mushkil-kushaa'ii kay chamakay hilaalNaakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam

Rafa' e zikr e jalalat pe arfa' duroodSharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam

Dil samajh se waraa' hai magar yoon kahoon:Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam

Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghizaUs shikam kii qana'at pe laakhon salam

Jo ke `azm e shafa'at pe khinchkar bandhiiUss kamar kii hamaayat pe laakhon salam

Anbiya teh karein zaanoo Inkay huzoorZanoo'on kii wajaahat pe laakhon salam

Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karamShama' e raah e isaabat pe laakhon salam

Khaaii Qur'an ne khaak e guzar kii qasamUss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam

Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamatZill e mamdood o raafat pe laakhon salam

Taairaan e quds jis kii hain qumriyaanUss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam

Jis kay aagay sar e sarwaraan khum rahainUs sar e taaj e rif'at pe laakhon salam

Shabnam-e-baagh e Haqq, ya'ani rukh kaa `arqUs kii sachchii baraaqat pe laakhon salam

Bheenii bheenii mehak par mehaktii duroodPyaarii pyaarii nafaasat pe laakhon salam

No comments:

Post a Comment