Mubarak Baad

Saare Musalmano Ko EID-E-MILADUNNABI Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mubarak

Saturday, March 3, 2012

GHAIR MUQALLIDEEN Ahle Hadees ka jhutha dawa ki wo Ahle Hadees hai

By Sayed Mudassar Hussain in Haq per Kon (Suuni Tigers) 
GHAIR MUQALLIDEEN FIRQE KE NAAM KI HAQIQAT:

British ke Daur se pehle Ahl-e-Quran wa Ahl-e-Hadis ye dono alfaz Ahl-e-Sunnat Wal Jama't ke 2 Ilmi Tibqon par istemal hotey the..

Ahle-Qur'an: se muraad Huffaaz wa Mufassireen hain.

Ahle-Hadis: se muraad Hazraate Muhaddiseen hain Ya'ni Hadis ke Log.

Jo bhi Tibqa aHadis ka ilm rakhta ho ya aHadis ka Dars deta ho. Usey Ahl e Hadis kahte hain.

1 lakh aHadis Sanad wa Matan ke sath Yaad rakhne waley Ko

Hafiz kehte hain.

3 lakh aHadis Yaad rakhne waley ko Hajjaj kehte hain.

Aaj ke Ahl-e-Hadis asal Ahle Hadis nahi kyonke na toh inka rishta kisi Muhaddis se judta hai na ye Ahadis ke Hafiz hain.

Ye sab toh Tark e Taqlid kar ke Apne ko firqae Jadeed Naam Nihad Ahle Hadis se jod liya hai aur isi tarah Ahle Qur'an bhi hain,

Jama'tul Muslimeen bhi hain.

Agar koi behtar naam is Angrez ke daur ke firqe ko diya ja sakta hai toh Wo hai Ahle Haadis Nafsi.

Kyonke ye amal karte hain sirf un Ahadis par jo inke Nafs ko theek lagein.

Jo Ahadis Nafs ke khilaf ho, un Ahadis ke ye Munkareen hain.

Aur mukhtaleefa haile wa bahane pesh kartehain un Ahadis ke inkaar me.

Jama'tul Muslimeen: se muraad Musalmano ki jama'thai jisme har Kalimah padhne wala shamil hai.

Jab British ka daur Hindustanme aaya tab yuhua ke..

Jo Munkareen e Hadis the unko Ahl-e-Qur'an kaha jane laga aur Jo Munkareen e Fiqah, the unko Ahl-e-Hadis, kaha jane laga..

Ahle Hadis me bohat se firqe hue hain jisme Jama'tul Muslimeen bhi ek hai..

1. Ahl-e-Qur'an Ye asal me toh Ahadis ke hi munkar hain. Kehte hain Ahadis ki kitabein,

Nabi Sallallaho alaihi wasallam ki wafat ke 200 saal ba'd likhi gayi toh in par aitmad nahi.

Surah Ahzab:21 me Rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ki zindagi ko Qayamat tak tamam Insano ke liyeBehtareen Namuna qarar diya hai.

Ab bechare Ek toh hain Ghair Muqallid upar se Ahadis ke Munkar toh Nabi Sallallaho alahi wasallam ki

Mubarak Zindagi kaise maloom karengey.?

Meri mulaqaat 2 Ghair Muqallid firqo se hui hai Ek toh Ahle Hadis aur Dusre Jama'tul Muslimeen.

Toh Inka dhoka mai apke samne rakhne ki koshish kar raha hu.

2. Jama'tul Muslimeen: Ye log Hadis pesh karte hain Bukhari wa Muslim ke hawale se Huzaifa radiallaho anho se marvi: Jamatul Muslimeen aur is ke Imam ko lazim pakad lo aur Tamam firqe (Ahle Hadis, Ahle Quran, Shia, Qadyani, Hanafi, Shafi'i, Maliki etc.) se alag ho jao.

Aur ek Hadis Hakim ke hawale se bhi pesh karte hain Mafhoom hadis hai

ke: ...Jisne apne aap ko Jamatul Muslimeen se alag kar liya goya usne apne Galeyse Islam ka patta utaar diya.

Matlab Ye hai ke Ahle Hadis,Hanafi, Shafi'i etc.Jo is jamat se jude nahi hain, Wo sab ke sab kafir hain. (Naoozubillah)

Jabke asal hadis ka maf'hoom hai: Agar Musalmano ki koi Jama't aur inka Imam ho to Usko lazim pakad lo aur Musalmano ki koi jama't na ho toh tamam firqo se alag ho kar jungle me chale jao yaha tak ke wahin par mout aa jaye."

Ye log Tamam hadis ke lafz ka urdu me tarjuma karte hain sivaye Jamatul Muslimeen ke.. Jabke Jamatul-Muslimeen se murad Musalmano ki kisi bhi muttahid Jama't ko lazim pakadne ka hai.

Hafiz Ibne Hajar Fatahul Bari me likhte hain: Imam se murad Khalifa ya Ameerul Mu'mineen hai. Isi tarah hadis me Firqo se muraad wo tamam firqe hain jo Ahle Sunnat se hatey hue hain.

Mullah Ali Qari Likhte hain ke:

Tamam firqo se alag ho jao yani Un Gumrah firqo se jo Ahle Sunnat wal Jama't ke tariqe ke khilaf hain. (Mirqat 10/10)

No comments:

Post a Comment